Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

purab des ki yaaden laya phir mausam ka tikha-pan

Kailash Mahir

purab des ki yaaden laya phir mausam ka tikha-pan

Kailash Mahir

MORE BYKailash Mahir

    pūrab des yādeñ laayā phir mausam tīkhā-pan

    mujh se pahroñ uns kare hai tanhā.ī sūnā-pan

    dil ke rang mahal meñ jaise barsoñ koī na jhāñkā ho

    tasvīroñ be-nūr āñkheñ shīshā-shishā dhuñdlā-pan

    kitnī baar lahū royā hai kitnī baar jale haiñ charāġh

    kitne ġhamoñ aañch meñ nikhrā dard mīThā mīThā-pan

    ham Thahre darvesh janam se pyaar kiyā to aa baiThe

    ham se kyā ye tīkhī nazreñ ham se kyā begāna-pan

    anjāne logoñ tak pahuñchā zikr tumhārī chāhat

    galī galī mash.hūr huā hai 'māhir' dīvāna-pan

    purab des ki yaaden laya phir mausam ka tikha-pan

    mujh se pahron uns kare hai tanhai ka suna-pan

    dil ke rang mahal mein jaise barson koi na jhanka ho

    taswiron ki be-nur aankhen shisha-shisha dhundla-pan

    kitni bar lahu roya hai kitni bar jale hain charagh

    kitne ghamon ki aanch mein nikhra dard ka miTha miTha-pan

    hum Thahre darwesh janam se pyar kiya to aa baiThe

    hum se kya ye tikhi nazren hum se kya begana-pan

    anjaane logon tak pahuncha zikr tumhaari chahat ka

    gali gali mashhur hua hai 'mahir' ka diwana-pan

    Source:

    Lams-e-Hawa (Pg. 16)

    • Author: Kailash Mahir
      • Publisher: Urdu Samaj, New Delhi
      • Year of Publication: 1928
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now