Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

pyar ke rang-mahal barson mein tayyar hue

Shahzad Ahmad

pyar ke rang-mahal barson mein tayyar hue

Shahzad Ahmad

MORE BYShahzad Ahmad

    pyaar ke rañg-mahal barsoñ meñ tayyār hue

    aur ik lamhe meñ ġhā.eb dar-o-dīvār hue

    phir jo dekhā to vahāñ kuchh bhī nahīñ thā maujūd

    ham to bas aañkh jhapakne ke gunahgār hue

    ham siyah-baḳhtoñ ne sūraj nahīñ dekhā barsoñ

    sub.h-dam aañkh lagī raat ko bedār hue

    ye bhī mumkin hai ki haath aa.e koī aur zamīñ

    rāh-e-gum-karda agar qāfila-sālār hue

    pyar ke rang-mahal barson mein tayyar hue

    aur ek lamhe mein ghaeb dar-o-diwar hue

    phir jo dekha to wahan kuchh bhi nahin tha maujud

    hum to bas aankh jhapakne ke gunahgar hue

    hum siyah-baKHton ne suraj nahin dekha barson

    subh-dam aankh lagi raat ko bedar hue

    ye bhi mumkin hai ki hath aae koi aur zamin

    rah-e-gum-karda agar qafila-salar hue

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Shahzad Ahmad

    Shahzad Ahmad

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now