aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

pyar ki har ek rasm ki jo matruk thi maine jari ki

Amir Ameer

pyar ki har ek rasm ki jo matruk thi maine jari ki

Amir Ameer

MORE BYAmir Ameer

    pyaar har ik rasm ki jo matrūk thī maiñ ne jaarī

    ishq-labāda tan par pahnā aur mohabbat taarī

    maiñ ab shahr-e-ishq meñ kuchh qānūn banāne vaalā huuñ

    ab us us ḳhair nahīñ hai jis jis ne ġhaddārī

    pahle thoḌī bahut mohabbat ki kaisī hotī hai

    par jab aslī chehra dekhā maiñ ne to phir saarī

    jo bhī muḌ kar dekhegā vo patthar ho jā.egā

    dekho dekho shahr meñ aa.e sannāTā aur tārīkī

    ek janam meñ maiñ us thā ek janm meñ vo merā

    ham ne har baar mohabbat lekin baarī baarī

    ham ho to sāmne aa.e aadil aur insāf-pasand

    dushman ko bhī ḳhuun rulāyā yāroñ se bhī yaarī

    aisā pyaar thā ham donoñ meñ ki barsoñ lā-ilm rahe

    us ne bhī kirdār nibhāyā maiñ ne bhī fankārī

    baat to itnī hai vāpas jaane ko maiñ aayā thā

    saañs uThā.ī umr sameTī chalne tayyārī

    pyar ki har ek rasm ki jo matruk thi main ne jari ki

    ishq-labaada tan par pahna aur mohabbat tari ki

    main ab shahr-e-ishq mein kuchh qanun banane wala hun

    ab us us ki KHair nahin hai jis jis ne ghaddari ki

    pahle thoDi bahut mohabbat ki ki kaisi hoti hai

    par jab asli chehra dekha main ne to phir sari ki

    jo bhi muD kar dekhega wo patthar ka ho jaega

    dekho dekho shahr mein aae sannaTa aur tariki

    ek janam mein main us ka tha ek janm mein wo mera

    hum ne ki har bar mohabbat lekin bari bari ki

    hum sa ho to samne aae aadil aur insaf-pasand

    dushman ko bhi KHun rulaya yaron se bhi yari ki

    aisa pyar tha hum donon mein ki barson la-ilm rahe

    us ne bhi kirdar nibhaya main ne bhi fankari ki

    baat to itni si hai wapas jaane ko main aaya tha

    sans uThai umr sameTi chalne ki tayyari ki

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now