pyar mein shart kisi tarh ki manzur nahin
pyaar meñ shart kisī tarh kī manzūr nahīñ
ham agar duur nahīñ tum bhī to majbūr nahīñ
vaqt aane do bahut log mileñge tum ko
kyā samajhte ho ki ab 'sarmad'-o-'mansūr' nahīñ
māntā huuñ ki adā.eñ haiñ tirī tauba-shikan
jo bhī hai phir bhī tū jannat kī koī huur nahīñ
chal paḌo to nahīñ is baat kā hogā ehsās
duur hai manzil-e-maqsūd magar duur nahīñ
vo jo chāhe to har ik chiiz ko hāsil kar le
‘mīr-sajjād' jise kahte haiñ mā'zūr nahīñ
pyar mein shart kisi tarh ki manzur nahin
hum agar dur nahin tum bhi to majbur nahin
waqt aane do bahut log milenge tum ko
kya samajhte ho ki ab 'sarmad'-o-'mansur' nahin
manta hun ki adaen hain teri tauba-shikan
jo bhi hai phir bhi tu jannat ki koi hur nahin
chal paDo to nahin is baat ka hoga ehsas
dur hai manzil-e-maqsud magar dur nahin
wo jo chahe to har ek chiz ko hasil kar le
‘mir-sajjad' jise kahte hain ma'zur nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.