pyar se be-KHabar nahin lagta
pyaar se be-ḳhabar nahīñ lagtā
jāntā hai magar nahīñ lagtā
kyoñ ulajhte ho us kī āñkhoñ se
tum ko marne se Dar nahīñ lagtā
terī qurbat mujhe mayassar ho
is du'ā meñ asar nahīñ lagtā
in parindoñ kā ḳhauf jaa.ez hai
tū kahīñ se shajar nahīñ lagtā
tere jaane ke baa'd ai 'ahsan'
ghar kahīñ se bhī ghar nahīñ lagtā
pyar se be-KHabar nahin lagta
jaanta hai magar nahin lagta
kyon ulajhte ho us ki aankhon se
tum ko marne se Dar nahin lagta
teri qurbat mujhe mayassar ho
is du'a mein asar nahin lagta
in parindon ka KHauf jaez hai
tu kahin se shajar nahin lagta
tere jaane ke ba'd ai 'ahsan'
ghar kahin se bhi ghar nahin lagta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.