Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

pyas lagna thi lagi sarshaar hona tha hue

Khalid Ahmad

pyas lagna thi lagi sarshaar hona tha hue

Khalid Ahmad

MORE BYKhalid Ahmad

    pyaas lagnā thī lagī sarshār honā thā hue

    ham ko ġharqāb-e-sarāb-e-dār honā thā hue

    ham tirī aahaT pe saḌkoñ par nikal aa.e to kyā

    ham ko rusvā bar-sar-e-bāzār honā thā hue

    tere kāñdhoñ ke liye sar de ke āḳhir kyā gayā

    ham ko yuuñ bhī be-sar-o-dastār honā thā hue

    kahe to apne hāthoñ apnī shah-e-rag kaaT leñ

    ham ko tere haath talvār honā thā hue

    ḳhvāb ke aalam meñ chalne maraz kab sakā

    ḳhvāb meñ niiñd se bedār honā thā hue

    in saroñ aur in mahloñ qismat ek thī

    sañg chalnā the chale mismār honā thā hue

    ek din 'ḳhālid' hameñ ye svāñg bharnā thā bharā

    jhuuT gaḌhnā the ghaḌe fankār honā thā hue

    pyas lagna thi lagi sarshaar hona tha hue

    hum ko gharqab-e-sarab-e-dar hona tha hue

    hum teri aahaT pe saDkon par nikal aae to kya

    hum ko ruswa bar-sar-e-bazar hona tha hue

    tere kandhon ke liye sar de ke aaKHir kya gaya

    hum ko yun bhi be-sar-o-dastar hona tha hue

    tu kahe to apne hathon apni shah-e-rag kaT len

    hum ko tere hath ki talwar hona tha hue

    KHwab ke aalam mein chalne ka maraz kab ja saka

    KHwab hi mein nind se bedar hona tha hue

    in saron ki aur in mahlon ki qismat ek thi

    sang chalna the chale mismar hona tha hue

    ek din 'KHalid' hamein ye swang bharna tha bhara

    jhuT gaDhna the ghaDe fankar hona tha hue

    Source:

    Pakistani Adab (Pg. 448)

    • Author: Dr. Rashid Amjad
      • Edition: 2009
      • Publisher: Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan
      • Year of Publication: 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now