Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

pyase honTon se jab koi jhil na boli babu-ji

Kunwar Bechain

pyase honTon se jab koi jhil na boli babu-ji

Kunwar Bechain

MORE BYKunwar Bechain

    pyāse hoñToñ se jab koī jhiil na bolī bābū-jī

    ham ne apne aañsū se aañkh bhigo bābū-jī

    phir koī kaalā sapnā thā palkoñ ke darvāzoñ par

    ham ne yuuñ Dar ke maare aañkh na kholī bābū-jī

    bhūle se jāne-anjāne vaar na karnā tum un par

    jin jin ke kandhoñ par hai ye priit Dolī bābū-jī

    ye mat pūchho is duniyā ne kaun se ab tyauhār diye

    ham ko andhī dīvālī ḳhuun holī bābū-jī

    dil nikle mehnat ke ghar haath jo ham ne bheje the

    vo ḳhālī le kar lauTe shaam ko jholī bābū-jī

    ham par kitne zulm hue haiñ kaun batā.e duniyā ko

    bandūqoñ meñ baaqī hai kyā ek bhī golī bābū-jī

    vo bhī apnī āñkhoñ meñ nāḳhūn le kar baiThe the

    dikhne meñ jin sūrat thī bahut bholī bābū-jī

    ye kah kah kar kal ham ko saarī ḳhushiyāñ mil jā.eñgī

    karte rahte ho kyuuñ ham se roz ThiTholī bābū-jī

    us meñ kuchh TuuTe sapne the kuchh aaheñ kuchh aañsū the

    jab jab bhī ham ne ye apnī jeb TaTolī bābū-jī

    ab baar to rākhī par bhī bhī de na sakī kuchh bhayyā ko

    ab us ke suune māthe par sirf hai rolī bābū-jī

    pyase honTon se jab koi jhil na boli babu-ji

    hum ne apne hi aansu se aankh bhigo li babu-ji

    phir koi kala sapna tha palkon ke darwazon par

    hum ne yun hi Dar ke mare aankh na kholi babu-ji

    bhule se jaane-anjaane war na karna tum un par

    jin jin ke kandhon par hai ye prit ki Doli babu-ji

    ye mat puchho is duniya ne kaun se ab tyauhaar diye

    di hum ko andhi diwali KHun ki holi babu-ji

    dil nikle hi mehnat ke ghar hath jo hum ne bheje the

    wo hi KHali le kar lauTe sham ko jholi babu-ji

    hum par kitne zulm hue hain kaun batae duniya ko

    banduqon mein baqi hai kya ek bhi goli babu-ji

    wo bhi apni aankhon mein naKHun hi le kar baiThe the

    dikhne mein jin ki surat thi bahut hi bholi babu-ji

    ye kah kah kar kal hum ko sari KHushiyan mil jaengi

    karte rahte ho kyun hum se roz ThiTholi babu-ji

    us mein kuchh TuTe sapne the kuchh aahen kuchh aansu the

    jab jab bhi hum ne ye apni jeb TaToli babu-ji

    ab ki bar to rakhi par bhi bhi de na saki kuchh bhayya ko

    ab us ke sune mathe par sirf hai roli babu-ji

    Source:

    Aandhiyo Dheere Chalo (Pg. 109)

    • Author: Kunwar Bechain
      • Edition: 2014
      • Publisher: Vani Prakashan
      • Year of Publication: 2014
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now