pyasi hain ragen jism ko KHun mil nahin sakta
pyāsī haiñ rageñ jism ko ḳhuuñ mil nahīñ saktā
sūraj kī harārat se sukūñ mil nahīñ saktā
buniyād mire ghar kī havāoñ pe rakhī hai
DhūñDe se koī sañg-e-sutūñ mil nahīñ saktā
sab ke liye lāzim nahīñ samtoñ kā ta.ayyun
maiñ raah kī is bhiiḌ meñ kyuuñ mil nahīñ saktā
uTThā thā bagūla sā uḌā le gayā sab kuchh
sochā kiyā maiñ ḳhaak meñ ḳhuuñ mil nahīñ saktā
aa jaao pa mujh se koī ummīd na rakkho
mil jā.ūñgā maiñ yaañ vo junūñ mil nahīñ saktā
pyasi hain ragen jism ko KHun mil nahin sakta
suraj ki hararat se sukun mil nahin sakta
buniyaad mere ghar ki hawaon pe rakhi hai
DhunDe se koi sang-e-sutun mil nahin sakta
sab ke liye lazim nahin samton ka tayyun
main rah ki is bhiD mein kyun mil nahin sakta
uTTha tha bagula sa uDa le gaya sab kuchh
socha kiya main KHak mein KHun mil nahin sakta
aa jao pa mujh se koi ummid na rakkho
mil jaunga main yan wo junun mil nahin sakta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.