Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

qabiz raha hai dil pe jo sultan ki tarah

Sarfaraz Shahid

qabiz raha hai dil pe jo sultan ki tarah

Sarfaraz Shahid

MORE BYSarfaraz Shahid

    qābiz rahā hai dil pe jo sultān tarah

    āḳhir nikal gayā shah-e-īrān tarah

    zāhir meñ sard o zard hai kāġhān tarah

    lekin mizāj us hai multān tarah

    rāz-o-niyāz meñ bhī akaḌ-fūñ nahīñ ga.ī

    vo ḳhat bhī likh rahā hai to chālān tarah

    luqma halāl jo milā ahl-kār ko

    us ne chabā ke thuuk diyā paan tarah

    zikr us parī-jamāl jab aur jahāñ chhiḌā

    fauran raqīb aa gayā shaitān tarah

    ik lamha us diid huī bas bhiiḌ meñ

    aur phir vo kho gayā mire ausān tarah

    maiñ mubtalā-e-qarz rahā chaar saal tak

    vo sirf chaar din rahā mehmān tarah

    har baat ke javāb meñ fauran nahīñ nahīñ

    niklā zabān-e-yār se gardān tarah

    'shāhid' se kah rahe ho ki roze rakhā kare

    har maah jis guzrā hai ramzān tarah

    qabiz raha hai dil pe jo sultan ki tarah

    aaKHir nikal gaya shah-e-iran ki tarah

    zahir mein sard o zard hai kaghan ki tarah

    lekin mizaj us ka hai multan ki tarah

    raaz-o-niyaz mein bhi akaD-fun nahin gai

    wo KHat bhi likh raha hai to chaalan ki tarah

    luqma halal ka jo mila ahl-kar ko

    us ne chaba ke thuk diya pan ki tarah

    zikr us pari-jamal ka jab aur jahan chhiDa

    fauran raqib aa gaya shaitan ki tarah

    ek lamha us ki did hui bas ki bhiD mein

    aur phir wo kho gaya mere ausan ki tarah

    main mubtala-e-qarz raha chaar sal tak

    wo sirf chaar din raha mehman ki tarah

    har baat ke jawab mein fauran nahin nahin

    nikla zaban-e-yar se gardan ki tarah

    'shahid' se kah rahe ho ki roze rakha kare

    har mah jis ka guzra hai ramzan ki tarah

    Source:

     Dish antenna (Pg. 79)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now