Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

qaem kahan kisi ka sada rah saka sitam

Javed Qamer

qaem kahan kisi ka sada rah saka sitam

Javed Qamer

MORE BYJaved Qamer

    qaa.em kahāñ kisī sadā rah sakā sitam

    hai chand roza bas ye sitamgar tirā sitam

    kab tak zulm Dhā.egā kab tak satā.egā

    zālim samajh ke soch ke ham pe Dhā sitam

    tere ye taḳht-o-tāj na kuchh kaam ā.eñge

    himmat se merī jab tirā Takrā.egā sitam

    zālim vo ek roz zamāne se miT gayā

    mazlūmoñ par jo Dhātā rahā thā baḌā sitam

    munsif hai terā terī adālat ġhulām hai

    rokegā tujh ko kaun bhar ke Dhā sitam

    ham par nahīñ kisī nazar aaj mehrbāñ

    jis ko bhī dekho ham pe vo kar rahā sitam

    khole jo maiñ ne hoñT 'qamar' diye ga.e

    haq bolne se lagtā hai ḳhud par kiyā sitam

    qaem kahan kisi ka sada rah saka sitam

    hai chand roza bas ye sitamgar tera sitam

    kab tak tu zulm Dhaega kab tak sataega

    zalim samajh ke soch ke tu hum pe Dha sitam

    tere ye taKHt-o-taj na kuchh kaam aaenge

    himmat se meri jab tera Takraega sitam

    zalim wo ek roz zamane se miT gaya

    mazlumon par jo Dhata raha tha baDa sitam

    munsif hai tera teri adalat ghulam hai

    rokega tujh ko kaun tu ji bhar ke Dha sitam

    hum par nahin kisi ki nazar aaj mehrban

    jis ko bhi dekho hum pe wo hi kar raha sitam

    khole jo main ne honT 'qamar' si diye gae

    haq bolne se lagta hai KHud par kiya sitam

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now