Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

qatil hai teri zulf-e-girah-gir ki zanjir

Muzaffar Ali Aseer

qatil hai teri zulf-e-girah-gir ki zanjir

Muzaffar Ali Aseer

MORE BYMuzaffar Ali Aseer

    qātil hai tirī zulf-e-girah-gīr zanjīr

    shamshīr shamshīr hai zanjīr zanjīr

    dīvāna to maiñ huuñ kaf-e-mashshāta meñ vo zulf

    ġhairoñ ko milī hai mirī taqdīr zanjīr

    bhūle nahīñ ham ālam-e-vahshat meñ ibādat

    chalne meñ sadā detī hai takbīr zanjīr

    hai zikr kisī zulf har vaqt zabāñ par

    ho kyoñ na musalsal mirī taqrīr zanjīr

    ma.alūm huā aap zar-gar hai muhavvis

    laayā hai banā kar zar-e-iksīr zanjīr

    rahm aa gayā jab kāhkashāñ charḳh pe dekhī

    bhārī nazar aa.ī mujhe us pair zanjīr

    rahtī hai bigaḌne pe vahī bid.at-e-zālim

    TuuTī to banī āhan-e-shamshīr zanjīr

    iizā nahīñ dete mire paañv ko salāsil

    jaise kisī dīvāna-e-tasvīr zanjīr

    ai aah kahāñ hai vo tirī quvvat-e-bāzū

    toḌe na dar-e-ḳhāna-e-tāsīr zanjīr

    likhtā hai qalam bas-ki tirī zulf tārīf

    har satr mire ḳhat meñ hai tahrīr zanjīr

    huuñ mujrim-e-ulfat mirī ta.azīr yahī hai

    ho paañv meñ us zulf-e-girah-gīr zanjīr

    andesha 'asīr' is liye hai mujh ko ajal se

    auroñ ko milegī mirī taqdīr zanjīr

    qatil hai teri zulf-e-girah-gir ki zanjir

    shamshir ki shamshir hai zanjir ki zanjir

    diwana to main hun kaf-e-mashshata mein wo zulf

    ghairon ko mili hai meri taqdir ki zanjir

    bhule nahin hum aalam-e-wahshat mein ibaadat

    chalne mein sada deti hai takbir ki zanjir

    hai zikr kisi zulf ka har waqt zaban par

    ho kyon na musalsal meri taqrir ki zanjir

    malum hua aap ka zar-gar hai muhawwis

    laya hai bana kar zar-e-iksir ki zanjir

    rahm aa gaya jab kahkashan charKH pe dekhi

    bhaari nazar aai mujhe us pair ki zanjir

    rahti hai bigaDne pe wahi bidat-e-zalim

    TuTi to bani aahan-e-shamshir ki zanjir

    iza nahin dete mere panw ko salasil

    jaise kisi diwana-e-taswir ki zanjir

    ai aah kahan hai wo teri quwwat-e-bazu

    toDe na dar-e-KHana-e-tasir ki zanjir

    likhta hai qalam bas-ki teri zulf ki tarif

    har satr mere KHat mein hai tahrir ki zanjir

    hun mujrim-e-ulfat meri tazir yahi hai

    ho panw mein us zulf-e-girah-gir ki zanjir

    andesha 'asir' is liye hai mujh ko ajal se

    auron ko milegi meri taqdir ki zanjir

    Source:

    Deewan-e-Aseer (Pg. 158)

    • Author: Muzaffar Ali Aseer
      • Publisher: Munshi Nawal Kishor, Lucknow
      • Year of Publication: 1870
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now