qatil yahan pe bhai ka bhai hai dosto

qatil yahan pe bhai ka bhai hai dosto
Haatif Aarifi Fatehpuri
MORE BYHaatif Aarifi Fatehpuri
qātil yahāñ pe bhaa.ī kā bhaa.ī hai dosto
duniyā ye kaise moḌ pe aa.ī hai dosto
mehr-o-vafā se ab hameñ raġhbat nahīñ rahī
mahfil kudūratoñ kī sajā.ī hai dosto
luTne pe ghar hamārā vo aise haiñ mutma.in
ummīd un kī jaise bar aa.ī hai dosto
rakkhūñ jo dil meñ baat to ghuTtā hai merā dam
kaise batā.ūñ baat parā.ī hai dosto
dāġh-e-jigar chhupā ke na rakkhūñ to kyā karūñ
un se yahī nishānī to paa.ī hai dosto
har qism kī burā.ī se bachnā hai lāzmī
chhoTī ho yā baḌī ho burā.ī hai dosto
har she'r meñ hai ek haqīqat chhupī huī
'hātif' ne ye ġhazal jo sunā.ī hai dosto
qatil yahan pe bhai ka bhai hai dosto
duniya ye kaise moD pe aai hai dosto
mehr-o-wafa se ab hamein raghbat nahin rahi
mahfil kuduraton ki sajai hai dosto
luTne pe ghar hamara wo aise hain mutmain
ummid un ki jaise bar aai hai dosto
rakkhun jo dil mein baat to ghuTta hai mera dam
kaise bataun baat parai hai dosto
dagh-e-jigar chhupa ke na rakkhun to kya karun
un se yahi nishani to pai hai dosto
har qism ki burai se bachna hai lazmi
chhoTi ho ya baDi ho burai hai dosto
har she'r mein hai ek haqiqat chhupi hui
'hatif' ne ye ghazal jo sunai hai dosto
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.