Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

qadam baDhate hi manzil dikhane lagte hain

Mohammad Kaleem Ziya

qadam baDhate hi manzil dikhane lagte hain

Mohammad Kaleem Ziya

MORE BYMohammad Kaleem Ziya

    qadam baḌhāte manzil dikhāne lagte haiñ

    ye rāste to baḌe siyāne lagte haiñ

    kisī ġharīb ke ghar meñ uge agar sūraj

    añdhere puure mahalle pe chhāne lagte haiñ

    ḳhizāñ meñ peḌ pe patte zarā nahīñ Tikte

    bahār aate rishte nibhāne lagte haiñ

    kisī nazar se utarne ko ek pal hai bahut

    nazar meñ chaḌhne ko lekin zamāne lagte haiñ

    kisī savāl sīdhā javāb kyā deñge

    jo bāt-bāt meñ bāteñ banāne lagte haiñ

    qadam baDhate hi manzil dikhane lagte hain

    ye raste to baDe hi siyane lagte hain

    kisi gharib ke ghar mein uge agar suraj

    andhere pure mahalle pe chhane lagte hain

    KHizan mein peD pe patte zara nahin Tikte

    bahaar aate hi rishte nibhane lagte hain

    kisi nazar se utarne ko ek pal hai bahut

    nazar mein chaDhne ko lekin zamane lagte hain

    kisi sawal ka sidha jawab kya denge

    jo baat-baat mein baaten banane lagte hain

    Source:

    Widrabh mein Jadeed Urdu Shairi: Ek Motala (Pg. 111)

      • Publisher: Mohammad Azhar Hayat
      • Year of Publication: 2012
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now