Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

qadam kahin pe irada kahin ka rakhte hain

Husain Abid

qadam kahin pe irada kahin ka rakhte hain

Husain Abid

MORE BYHusain Abid

    qadam kahīñ pe irāda kahīñ rakhte haiñ

    ḳhalā meñ rahte haiñ manzar zamīñ rakhte haiñ

    ye kaun un nazar vāhimoñ se bhartā hai

    jo apne baste meñ naama yaqīñ rakhte haiñ

    ye kyā ki ruuh koī zamīñ na koī vatan

    jahāñ miTTī ho us ko vahīñ rakhte haiñ

    isī liye to parindoñ ke par nikalte haiñ

    ki āstāñ na bakheḌā jabīñ rakhte haiñ

    usī ke faiz se nā-mehrbāñ huā hai dil

    makāñ mizāj hamesha makīñ rakhte haiñ

    qadam kahin pe irada kahin ka rakhte hain

    KHala mein rahte hain manzar zamin ka rakhte hain

    ye kaun un ki nazar wahimon se bharta hai

    jo apne baste mein nama yaqin ka rakhte hain

    ye kya ki ruh ki koi zamin na koi watan

    jahan ki miTTi ho us ko wahin ka rakhte hain

    isi liye to parindon ke par nikalte hain

    ki aastan na bakheDa jabin ka rakhte hain

    usi ke faiz se na-mehrban hua hai dil

    makan mizaj hamesha makin ka rakhte hain

    Source:

    اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 550)

      • Publisher: کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now