qadam qadam hai andha moD

Harbans Singh Tasavvur

qadam qadam hai andha moD

Harbans Singh Tasavvur

MORE BYHarbans Singh Tasavvur

  qadam qadam hai andhā moḌ

  dekh ke apnī āñkheñ phoḌ

  kabhī to aañkh pyaas bujhā

  kabhī to dil patthar toḌ

  himmat hai to chaurāhe meñ

  apnī chup bhāñDā phoḌ

  dil tamannā dil meñ rakh

  band galī rasta chhoḌ

  bhī 'tasavvur' ḳhvāb vo dekh

  aañkh se jo le niiñd nichoḌ

  qadam qadam hai andha moD

  dekh ke apni aankhen phoD

  kabhi to aankh ki pyas bujha

  kabhi to dil ka patthar toD

  himmat hai to chaurahe mein

  apni chup ka bhanDa phoD

  dil ki tamanna dil mein rakh

  band gali ka rasta chhoD

  tu bhi 'tasawwur' KHwab wo dekh

  aankh se jo le nind nichoD

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY