Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

qadam qadam pe gire uTThe bar bar chale

Athar Ziai

qadam qadam pe gire uTThe bar bar chale

Athar Ziai

MORE BYAthar Ziai

    qadam qadam pe gire uTThe baar baar chale

    tamām umr isī taur ham guzār chale

    zamāna guzrā ki dil nazr-e-hādsāt huā

    ab ek jaañ thī use zindagī pe vaar chale

    fuzūñ kuchh aur huā bandishoñ se josh-e-junūñ

    rihā hue jo qafas se to sū-e-dār chale

    adā-e-laġhzish-e-rindān-e-bāda-mast kahāñ

    machal machal ke nasīm-e-chaman hazār chale

    rukūñ to gardish-e-shām-o-sahar Thahar jaa.e

    chalūñ to saath har ik naqsh-e-rahguzār chale

    jale charāġh khile gul ubal paḌe naġhme

    jahāñ jahāñ tire dhoke meñ ham pukār chale

    huā to ḳhūn-e-dil-o-jān-o-ārzū 'at.har'

    mazāq-e-ahl-e-mohabbat magar sañvār chale

    qadam qadam pe gire uTThe bar bar chale

    tamam umr isi taur hum guzar chale

    zamana guzra ki dil nazr-e-hadsat hua

    ab ek jaan thi use zindagi pe war chale

    fuzun kuchh aur hua bandishon se josh-e-junun

    riha hue jo qafas se to su-e-dar chale

    ada-e-laghzish-e-rindan-e-baada-mast kahan

    machal machal ke nasim-e-chaman hazar chale

    rukun to gardish-e-sham-o-sahar Thahar jae

    chalun to sath har ek naqsh-e-rahguzar chale

    jale charagh khile gul ubal paDe naghme

    jahan jahan tere dhoke mein hum pukar chale

    hua to KHun-e-dil-o-jaan-o-arzu 'athar'

    mazaq-e-ahl-e-mohabbat magar sanwar chale

    Source:

    Tatheer (Pg. 100)

    • Author: Athar Ziai
      • Publisher: Idara Adab-o-Saqafat, Islamabad
      • Year of Publication: 1991
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now