Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

qadam-qadam pe Thaharte the Dar hi aisa tha

Kuldeep Gauhar

qadam-qadam pe Thaharte the Dar hi aisa tha

Kuldeep Gauhar

MORE BYKuldeep Gauhar

    qadam-qadam pe Thaharte the Dar aisā thā

    na tai huā kabhī ham se safar aisā thā

    muhīb saa.e se aate rahe nazar har-sū

    ye zikr-e-dasht nahīñ apnā ghar aisā thā

    na raas aa.e haiñ aish-o-nishāt ke lamhe

    nizām-e-dahr ham par asar aisā thā

    koī bhī aib phaTakne na paayā paas apne

    hamāre paas tilism-e-hunar aisā thā

    hameñ ye shauq ki tūfāñ mauj se kheleñ

    magar kināre pe laayā bhañvar aisā thā

    yahīñ se aatī thiiñ har shab ajiib āvāzeñ

    nagar se duur purānā khañDar aisā thā

    añdherī vādiyāñ bhī ham ko jagmagātī lagīñ

    hamāre paas charāġh-e-nazar aisā thā

    har ek shaḳhs yahāñ thā mukhauTā pahne hue

    tamām nagroñ meñ apnā nagar aisā thā

    bahār aur ḳhizāñ ek se haiñ us ke liye

    hamāre baaġh tanhā shajar aisā thā

    na ḳham huā kisī jābir ke rū-ba-rū 'gauhar'

    sadā buland rahā apnā sar aisā thā

    qadam-qadam pe Thaharte the Dar hi aisa tha

    na tai hua kabhi hum se safar hi aisa tha

    muhib sae se aate rahe nazar har-su

    ye zikr-e-dasht nahin apna ghar hi aisa tha

    na ras aae hain aish-o-nishat ke lamhe

    nizam-e-dahr ka hum par asar hi aisa tha

    koi bhi aib phaTakne na paya pas apne

    hamare pas tilism-e-hunar hi aisa tha

    hamein ye shauq ki tufan ki mauj se khelen

    magar kinare pe laya bhanwar hi aisa tha

    yahin se aati thin har shab ajib aawazen

    nagar se dur purana khanDar hi aisa tha

    andheri wadiyan bhi hum ko jagmagati lagin

    hamare pas charagh-e-nazar hi aisa tha

    har ek shaKHs yahan tha mukhauTa pahne hue

    tamam nagron mein apna nagar hi aisa tha

    bahaar aur KHizan ek se hain us ke liye

    hamare bagh ka tanha shajar hi aisa tha

    na KHam hua kisi jabir ke ru-ba-ru 'gauhar'

    sada buland raha apna sar hi aisa tha

    Source:

    Rooh-e-Jazbaat (Pg. 29)

    • Author: Kuldeep Gauhar
      • Publisher: Kuldeep Gauhar
      • Year of Publication: 2007
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now