Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

qaid aur qaid bhi tanhai ki

Maulana Mohammad Ali Jauhar

qaid aur qaid bhi tanhai ki

Maulana Mohammad Ali Jauhar

MORE BYMaulana Mohammad Ali Jauhar

    qaid aur qaid bhī tanhā.ī

    sharm rah jaa.e shakebā.ī

    sūjhtā kyā hameñ un āñkhoñ se

    shart thī qalb bīnā.ī

    dar-e-but-ḳhāna se baḌhne na paa.e

    garche ik 'umr jabīñ-sā.ī

    qais ko nāqa-e-lailā na milā

    go bahut bādiya-paimā.ī

    ham ne har zarre ko mahmil paayā

    hai ye qismat tire sahrā.ī

    vaqf hai us ke liye jān-e-azīz

    kā'ba ke ḳhādim o shaidā.ī

    kā'ba o quds meñ ghar kyā ye bhī

    ik adā hai mire harjā.ī

    nazar aayā hameñ har chiiz meñ

    us pe ye dhuum hai yaktā.ī

    ishq aur jaur-e-sitamgar gila

    had hai ai dil yahī rusvā.ī

    ishq ko ham ne kyā nazr-e-junūñ

    'umr bhar meñ yahī dānā.ī

    kar ga.ī zinda-e-jāved hameñ

    teġh-e-qātil ne masīhā.ī

    ho na taqlīd dilā maqtal meñ

    kahīñ muusā se tamannā.ī

    na sahī teġh tajallī sahī

    aañkh jhapke na tamāshā.ī

    kal ko hai phir vahī zindāñ 'jauhar'

    Thiik kyā aap se saudā.ī

    qaid aur qaid bhi tanhai ki

    sharm rah jae shakebai ki

    sujhta kya hamein un aankhon se

    shart thi qalb ki binai ki

    dar-e-but-KHana se baDhne hi na pae

    garche ek 'umr jabin-sai ki

    qais ko naqa-e-laila na mila

    go bahut baadiya-paimai ki

    hum ne har zarre ko mahmil paya

    hai ye qismat tere sahrai ki

    waqf hai us ke liye jaan-e-aziz

    ka'ba ke KHadim o shaidai ki

    ka'ba o quds mein ghar kya ye bhi

    ek ada hai mere harjai ki

    nazar aaya hamein har chiz mein tu

    us pe ye dhum hai yaktai ki

    ishq aur jaur-e-sitamgar ka gila

    had hai ai dil yahi ruswai ki

    ishq ko hum ne kya nazr-e-junun

    'umr bhar mein yahi danai ki

    kar gai zinda-e-jawed hamein

    tegh-e-qatil ne masihai ki

    ho na taqlid dila maqtal mein

    kahin musa se tamannai ki

    na sahi tegh tajalli hi sahi

    aankh jhapke na tamashai ki

    kal ko hai phir wahi zindan 'jauhar'

    Thik kya aap se saudai ki

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now