aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

qaid hue jo log apni man-mani mein

Nadim Balkhi

qaid hue jo log apni man-mani mein

Nadim Balkhi

MORE BYNadim Balkhi

    qaid hue jo log apnī man-mānī meñ

    dekh rahe haiñ dushvārī āsānī meñ

    ilm sahīfa kyā de paḌhne vāloñ ko

    vaqt to guzrā sirf varaq-gardānī meñ

    aag meñ jhoñkeñge vo apnī mehnat ko

    raa.ī khetī jo karte haiñ paanī meñ

    pāñch pahar sajda-rezī hai lekin

    nūr-kushā āsār nahīñ peshānī meñ

    ġharq vo hogā dariyā meñ tairegā

    pheñk ke pahle patthar dekho paanī meñ

    gupt dhanoñ haal batāyā choroñ ko

    log vahī jo chaukas the nigarānī meñ

    aañkh khulī jo sub.h savere to 'nādim'

    ghor añdherā bhī dekhā tābānī meñ

    qaid hue jo log apni man-mani mein

    dekh rahe hain dushwari aasani mein

    ilm sahifa kya de paDhne walon ko

    waqt to guzra sirf waraq-gardani mein

    aag mein jhonkenge wo apni mehnat ko

    rai ki kheti jo karte hain pani mein

    panch pahar ki sajda-rezi hai lekin

    nur-kusha aasar nahin peshani mein

    gharq wo hoga dariya mein ya tairega

    phenk ke pahle patthar dekho pani mein

    gupt dhanon ka haal bataya choron ko

    log wahi jo chaukas the nigarani mein

    aankh khuli jo subh sawere to 'nadim'

    ghor andhera bhi dekha tabani mein

    Source:

    Dhoop Mein Sehra Noridi (Pg. 147)

    • Author: Nadim Balkhi
      • Publisher: Mustafa Balkhi
      • Year of Publication: 1987
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now