Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

qaid mein bhi hai junun dast-o-gareban humse

Natiq Lakhnavi

qaid mein bhi hai junun dast-o-gareban humse

Natiq Lakhnavi

MORE BYNatiq Lakhnavi

    qaid meñ bhī hai junūñ dast-o-garebāñ ham se

    aa ke ḳhalvat meñ bhī miltā hai bayābāñ ham se

    qais saudā-e-ġham-e-gesū-e-lailā ke liye

    le gayā chand ḳhayālāt-e-pareshāñ ham se

    ishq meñ itnā zamāna hameñ guzrā hai ki log

    pūchhte aate haiñ is dard darmāñ ham se

    koī nāqūs-o-jaras nahīñ kartā fariyād

    ham jo nālāñ haiñ to har shaḳhs hai nālāñ ham se

    haal apne hameñ ilm nahīñ un ko hai

    raaz rakhte haiñ hamārā bhī vo pinhāñ ham se

    qaid-e-ġham se hai rihā.ī bahut āsāñ 'nātiq'

    sharm is hai ki vābasta hai zindāñ ham se

    qaid mein bhi hai junun dast-o-gareban hum se

    aa ke KHalwat mein bhi milta hai bayaban hum se

    qais sauda-e-gham-e-gesu-e-laila ke liye

    le gaya chand KHayalat-e-pareshan hum se

    ishq mein itna zamana hamein guzra hai ki log

    puchhte aate hain is dard ka darman hum se

    koi naqus-o-jaras ki nahin karta fariyaad

    hum jo nalan hain to har shaKHs hai nalan hum se

    haal ka apne hamein ilm nahin un ko hai

    raaz rakhte hain hamara bhi wo pinhan hum se

    qaid-e-gham se hai rihai bahut aasan 'natiq'

    sharm is ki hai ki wabasta hai zindan hum se

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now