Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

qalam mein ashk bhar kar likh rahi hun dard kaghaz par

Siya sachdev

qalam mein ashk bhar kar likh rahi hun dard kaghaz par

Siya sachdev

MORE BYSiya sachdev

    qalam meñ ashk bhar kar likh rahī huuñ dard kāġhaz par

    bikhere rahī huuñ hasratoñ ko sard kāġhaz par

    taḌap aurat ke dil sirf ik aurat samajhtī hai

    bas apnī ḳhvāhishoñ ko likh rahe haiñ mard kāġhaz par

    chalo maanā ki kah lene se dukh halkā hotā hai

    magar kuchh paloñ meñ itnā saarā dard kāġhaz par

    yūñhī bas aaj maiñ ne ik purānī Diary kholī

    jamī thī kab se yādoñ purānī gard kāġhaz par

    nisā.ī karb likhne hunar ham ko aatā hai

    hukūmat apnī sābit kar rahe haiñ mard kāġhaz par

    tabhī kar ġhazal ko ik na.e paikar meñ Dhālā hai

    lahū surḳh būñdeñ jab girī hai zard kāġhaz par

    namī se gal bhī sakte haiñ sharar se jal bhī sakte haiñ

    bharosā kar rahī haiñ kyoñ 'siyā' be-dard kāġhaz par

    qalam mein ashk bhar kar likh rahi hun dard kaghaz par

    bikhere ja rahi hun hasraton ko sard kaghaz par

    taDap aurat ke dil ki sirf ek aurat samajhti hai

    bas apni KHwahishon ko likh rahe hain mard kaghaz par

    chalo mana ki kah lene se dukh halka hi hota hai

    magar kuchh hi palon mein itna sara dard kaghaz par

    yunhi bas aaj main ne ek purani Diary kholi

    jami thi kab se yaadon ki purani gard kaghaz par

    nisai karb likhne ka hunar hum ko hi aata hai

    hukumat apni sabit kar rahe hain mard kaghaz par

    tabhi ja kar ghazal ko ek nae paikar mein Dhaala hai

    lahu ki surKH bunden jab giri hai zard kaghaz par

    nami se gal bhi sakte hain sharar se jal bhi sakte hain

    bharosa kar rahi hain kyon 'siya' be-dard kaghaz par

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now