Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

qalam mein raushni kam aur dhuan ziyaada hai

Sadiya Safdar Saadi

qalam mein raushni kam aur dhuan ziyaada hai

Sadiya Safdar Saadi

MORE BYSadiya Safdar Saadi

    qalam meñ raushnī kam aur dhuāñ ziyāda hai

    ġhazal likhī to tabī.at ravāñ ziyāda hai

    mujhe to ilm nahīñ koī hisāb lagā

    kahāñ pe kam hai mohabbat kahāñ ziyāda hai

    faqīr laḌkī huuñ mere liye mire ḳhāliq

    jo sach kahūñ jo diyā ne haañ ziyāda hai

    mire makān sahrā se kyā muvāzana hai

    yahāñ pe shor ziyāda ziyāñ ziyāda hai

    hamāre hisse hai jo bhī hameñ nahīñ ma.alūm

    zamīñ ziyāda hai āsmāñ ziyāda hai

    ab us vāpsī mumkin nahīñ kisī bhī tarah

    yaqīn se kahīñ vo bad-gumāñ ziyāda hai

    hamāre shahr meñ phūloñ zikr kaun kare

    hamāre shahr meñ 'sādī' ḳhizāñ ziyāda hai

    qalam mein raushni kam aur dhuan ziyaada hai

    ghazal likhi to tabiat rawan ziyaada hai

    mujhe to ilm nahin tu koi hisab laga

    kahan pe kam hai mohabbat kahan ziyaada hai

    faqir laDki hun mere liye mere KHaliq

    jo sach kahun jo diya tu ne han ziyaada hai

    mere makan ka sahra se kya muwazana hai

    yahan pe shor ziyaada ziyan ziyaada hai

    hamare hisse hai jo bhi hamein nahin malum

    zamin ziyaada hai ya aasman ziyaada hai

    ab us ki wapsi mumkin nahin kisi bhi tarah

    yaqin se kahin wo bad-guman ziyaada hai

    hamare shahr mein phulon ka zikr kaun kare

    hamare shahr mein 'sadi' KHizan ziyaada hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now