Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

qalb-e-alam-nasib ki tishna-labi bujhae ja

Sewak Nayyar

qalb-e-alam-nasib ki tishna-labi bujhae ja

Sewak Nayyar

MORE BYSewak Nayyar

    qalb-e-alam-nasīb tishna-labī bujhā.e

    ai mere sāqiyā mujhe shām-o-sahar pilā.e

    ai dil-e-be-qarār sun rone se fā.eda hai kyā

    jis ne bhulā diyā tujhe bhī use bhulā.e

    barsar-e-bām aa ke parda-e-ruḳh haTā zarā

    ham bhī haiñ sāhib-e-nazar ham ko bhī āzmā.e

    zauq-e-tulū-e-sub.h bhī degī ye tīrgī tujhe

    raat tavīl hai to kyā dil diyā jalā.e

    jān-e-bahār-e-gulsitāñ zohra-jamāl nāznīñ

    'nayyar'-e-ḳhush-ḳhayāl ke fikr-o-nazar pe chhā.e

    qalb-e-alam-nasib ki tishna-labi bujhae ja

    ai mere saqiya mujhe sham-o-sahar pilae ja

    ai dil-e-be-qarar sun rone se faeda hai kya

    jis ne bhula diya tujhe tu bhi use bhulae ja

    barsar-e-baam aa ke tu parda-e-ruKH haTa zara

    hum bhi hain sahib-e-nazar hum ko bhi aazmae ja

    zauq-e-tulu-e-subh bhi degi ye tirgi tujhe

    raat tawil hai to kya dil ka diya jalae ja

    jaan-e-bahaar-e-gulsitan zohra-jamal naznin

    'nayyar'-e-KHush-KHayal ke fikr-o-nazar pe chhae ja

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now