qalb tera ho chuka hai qash qash
qalb terā ho chukā hai qaash qaash
tū faqat ab baiTh kar sapne tarāsh
be-dilī uktāhaTeñ aur ḳhāmushī
ab na koī iztirāb o irti'āsh
uñgliyāñ uThne lagīñ kirdār par
bhuul kyā tujh se huī hai koī faash
dāman-e-shab ke sitāroñ alvidā'
merī bechainī chhupāte tum hī kaash
yuuñ barahna hai siyāsat aaj kī
haiñ musallat masnadoñ par bad-qimāsh
zabt-e-ḳhuddārī muravvat ab kahāñ
bas hai dāman-gīr ik fikr-e-ma'āsh
manziloñ kī samt uTThe jab kabhī
raah ke patthar hue haiñ paash paash
phuul chehra ḳhushbuoñ kā mustaqar
zulf ambar jism sonā ḳhair-bāsh
muñh tirā utrā huā hai kyoñ 'kamāl'
dāstāñ sun lī koī kyā dil-ḳharāsh
qalb tera ho chuka hai qash qash
tu faqat ab baiTh kar sapne tarash
be-dili uktahaTen aur KHamushi
ab na koi iztirab o irti'ash
ungliyan uThne lagin kirdar par
bhul kya tujh se hui hai koi fash
daman-e-shab ke sitaron alwida'
meri bechaini chhupate tum hi kash
yun barahna hai siyasat aaj ki
hain musallat masnadon par bad-qimash
zabt-e-KHuddari murawwat ab kahan
bas hai daman-gir ek fikr-e-ma'ash
manzilon ki samt uTThe jab kabhi
rah ke patthar hue hain pash pash
phul chehra KHushbuon ka mustaqar
zulf ambar jism sona KHair-bash
munh tera utra hua hai kyon 'kamal'
dastan sun li koi kya dil-KHarash
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.