Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

qanaat umr-bhar ki ghar ke baam-o-dar pe rakkhi thi

Zia Faruqi

qanaat umr-bhar ki ghar ke baam-o-dar pe rakkhi thi

Zia Faruqi

MORE BYZia Faruqi

    qanā.at umr-bhar ghar ke bām-o-dar pe rakkhī thī

    maiñ zer-e-āsmāñ thā dhuup mere sar pe rakkhī thī

    ta.ajjub kyā jo ab bhī DhūñDte haiñ sañg-e-dar koī

    ki ham ne ibtidā tahzīb patthar pe rakkhī thī

    vahī chehre lahū garm-bāzārī meñ shāmil the

    jinhoñ ne apnī gardan baḌh ke ḳhud ḳhanjar pe rakkhī thī

    maiñ āshiq huuñ badal Daalā mujhe ishq-o-qanā.at ne

    ujālā dil meñ thā duniyā mirī Thokar pe rakkhī thī

    na jaane maiñ kahāñ bhaTkā kiyā ḳhvāboñ bastī meñ

    khulī jab aañkh to dekhā thakan bistar pe rakkhī thī

    mire bachchoñ ne vo dastār bhī jaane kahāñ rakh

    buzurgoñ nishānī thī abhī tak ghar pe rakkhī thī

    vahī tahzīb ab ham ko 'ziyā' jiine nahīñ detī

    kabhī buniyād jis ham ne māl-o-zar pe rakkhī thī

    qanaat umr-bhar ki ghar ke baam-o-dar pe rakkhi thi

    main zer-e-asman tha dhup mere sar pe rakkhi thi

    tajjub kya jo ab bhi DhunDte hain sang-e-dar koi

    ki hum ne ibtida tahzib ki patthar pe rakkhi thi

    wahi chehre lahu ki garm-bazari mein shamil the

    jinhon ne apni gardan baDh ke KHud KHanjar pe rakkhi thi

    main aashiq hun badal Dala mujhe ishq-o-qanaat ne

    ujala dil mein tha duniya meri Thokar pe rakkhi thi

    na jaane main kahan bhaTka kiya KHwabon ki basti mein

    khuli jab aankh to dekha thakan bistar pe rakkhi thi

    mere bachchon ne wo dastar bhi jaane kahan rakh di

    buzurgon ki nishani thi abhi tak ghar pe rakkhi thi

    wahi tahzib ab hum ko 'ziya' jine nahin deti

    kabhi buniyaad jis ki hum ne mal-o-zar pe rakkhi thi

    Source:

    Pas-e-Gard-e-Safar (Pg. 64)

    • Author: Zia Farooqui
      • Edition: 2009
      • Publisher: Educational Publishing House
      • Year of Publication: 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now