Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

qarya-e-jaan se ho kar guzarta tha jo rasta ya-aKHi

Shehzad Anjum Burhani

qarya-e-jaan se ho kar guzarta tha jo rasta ya-aKHi

Shehzad Anjum Burhani

MORE BYShehzad Anjum Burhani

    qarya-e-jāñ se ho kar guzartā thā jo rāsta yā-aḳhī

    ek saaya bahut der us par Tahaltā rahā yā-aḳhī

    apne aap se der tak ham bhī dast-o-garebāñ rahe

    dhund chhaTne lagī aur sūraj nikalne lagā yā-aḳhī

    nā-rasā.ī ehsās bhī darmiyān-e-yaqīñ aa gayā

    chand qadmoñ pe manzil thī aur rāsta kho gayā yā-aḳhī

    ham ki abr-e-karam tamanna meñ dasht-o-jabal tak ga.e

    ek tūfāñ ġhubār-āshnā kar gayā thā fazā yā-aḳhī

    ab to jaañ tak utarne lagā ḳhud-kalāmī dukh kyā kaheñ

    itnā āsāñ nahīñ apne aap se bolnā yā-aḳhī

    jis ke hāthoñ meñ Daale hue haath phirte the ham rāt-din

    kyā tumheñ yaad hai tum batāo ki vo kaun thā yā-aḳhī

    ḳhud-farebī is 'ahd meñ zinda rahne sāmān hai

    mar jaa.eñ agar chhoḌ deñ ḳhvāb dekhnā yā-aḳhī

    qarya-e-jaan se ho kar guzarta tha jo rasta ya-aKHi

    ek saya bahut der us par Tahalta raha ya-aKHi

    apne hi aap se der tak hum bhi dast-o-gareban rahe

    dhund chhaTne lagi aur suraj nikalne laga ya-aKHi

    na-rasai ka ehsas bhi darmiyan-e-yaqin aa gaya

    chand qadmon pe manzil thi aur rasta kho gaya ya-aKHi

    hum ki abr-e-karam ki tamanna mein dasht-o-jabal tak gae

    ek tufan ghubar-ashna kar gaya tha faza ya-aKHi

    ab to jaan tak utarne laga KHud-kalami ka dukh kya kahen

    itna aasan nahin apne hi aap se bolna ya-aKHi

    jis ke hathon mein Dale hue hath phirte the hum raat-din

    kya tumhein yaad hai tum batao ki wo kaun tha ya-aKHi

    KHud-farebi hi is 'ahd mein zinda rahne ka saman hai

    mar hi jaen agar chhoD den KHwab ka dekhna ya-aKHi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now