qarz qiston mein tera bharti hun
qarz qistoñ meñ terā bhartī huuñ
zindagī roz thoḌā martī huuñ
had meñ rahne ko terī ai duniyā
sabr kī had se maiñ guzartī huuñ
maiñ kisī roz Darnā chhoḌ na duuñ
bas isī baat se maiñ Dartī huuñ
dekhtā bhī nahīñ jo ek nazar
us kī ḳhātir hī maiñ sañvartī huuñ
ashk tasvīr se chhalakte haiñ
jab maiñ ḳhushiyoñ ke rang bhartī huuñ
qarz qiston mein tera bharti hun
zindagi roz thoDa marti hun
had mein rahne ko teri ai duniya
sabr ki had se main guzarti hun
main kisi roz Darna chhoD na dun
bas isi baat se main Darti hun
dekhta bhi nahin jo ek nazar
us ki KHatir hi main sanwarti hun
ashk taswir se chhalakte hain
jab main KHushiyon ke rang bharti hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.