Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

qasr-e-rangin se guzar bagh-o-gulistan se nikal

Nazeer Akbarabadi

qasr-e-rangin se guzar bagh-o-gulistan se nikal

Nazeer Akbarabadi

MORE BYNazeer Akbarabadi

    qasr-e-rañgīñ se guzar bāġh-o-gulistāñ se nikal

    hai vafā-pesha mat kūcha-e-jānāñ se nikal

    nik.hat-e-zulf ye kis hai ki jis ke aage

    huī ḳhajlat-zada sumbul-o-raihāñ se nikal

    go bahār ab hai vale roz-e-ḳhizāñ ai bulbul

    yak-qalam nargis o gul jāveñge bustāñ se nikal

    imtihāñ karne ko yuuñ dil se kahā ham ne raat

    ai dil-e-ġham-zada is kākul-e-pechāñ se nikal

    khā ke sau pech kahā maiñ to nikalne nahīñ

    magar ai dushman-e-jāñ chal mire haañ se nikal

    ho pareshānī se jis mujhe sau jam.iyyat

    kis tarah jā.ūñ maiñ us zulf-e-pareshāñ se nikal

    laakh zindān-e-pur-āfāt meñ hotā hai vo qaid

    jo koī jaatā hai is taur ke zindāñ se nikal

    mujh se mumkin nahīñ mahbūb qat.a-e-ulfat

    garche maiñ jā.ūñgā is ālam-e-imkāñ se nikal

    chaah meñ mujh ko ye murshid hai irshād 'nazīr'

    aabrū chāhe to mat chāh-e-zanaḳhdāñ se nikal

    qasr-e-rangin se guzar bagh-o-gulistan se nikal

    hai wafa-pesha tu mat kucha-e-jaanan se nikal

    nikhat-e-zulf ye kis ki hai ki jis ke aage

    hui KHajlat-zada bu sumbul-o-raihan se nikal

    go bahaar ab hai wale roz-e-KHizan ai bulbul

    yak-qalam nargis o gul jawenge bustan se nikal

    imtihan karne ko yun dil se kaha hum ne raat

    ai dil-e-gham-zada is kakul-e-pechan se nikal

    kha ke sau pech kaha main to nikalne ka nahin

    magar ai dushman-e-jaan chal tu mere han se nikal

    ho pareshani se jis ki mujhe sau jamiyyat

    kis tarah jaun main us zulf-e-pareshan se nikal

    lakh zindan-e-pur-afat mein hota hai wo qaid

    jo koi jata hai is taur ke zindan se nikal

    mujh se mumkin nahin mahbub ki qata-e-ulfat

    garche main jaunga is aalam-e-imkan se nikal

    chah mein mujh ko ye murshid ka hai irshad 'nazir'

    aabru chahe to mat chah-e-zanaKHdan se nikal

    Source:

    Kulliyat-e-Nazeer (Pg. 878)

    • Author: Nazeer Akbarabadi
      • Publisher: Munshi Nawal Kishor, Lucknow
      • Year of Publication: 1951
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now