aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

qatar jugnuon ki raushni luTati rahi

Yasmeen Sahar

qatar jugnuon ki raushni luTati rahi

Yasmeen Sahar

MORE BYYasmeen Sahar

    qatār jugnuoñ raushnī luTātī rahī

    maiñ rañg gūñdh ke titlī ke par banātī rahī

    rakhā thā suuī Tik-Tik pe ik dhaḌaktā dil

    yahī tamāsha ghaḌī haath dikhātī rahī

    maiñ chāñdnī sahelī vo chāñd bhaa.ī mirā

    tamām din yahī āvāz kaan khātī rahī

    ghisā-piTā kahīñ kuchh intizār rotā rahā

    havā ko dekho khaḌī sīTiyāñ bajātī rahī

    vo thaap Dhol kuchh aur tez hotī ga.ī

    ḳhamoshī baiThī mire paas gungunātī rahī

    vo ek laḌkā lipTā huā charāġh ke saath

    diyā-salā.ī mirī uñgliyāñ jalātī rahī

    falak khūñTī se Tāñgā huā thā ek ḳhayāl

    zamīñ pe baiThī tirī baat muskurātī rahī

    maiñ barf-bārī meñ niklī thī aag sulgāne

    vo nannhī titlī mire paañv jab dabātī rahī

    qarīb laane tarġhīb dene vaale dekh

    tirī ḳhushī meñ mirī zindagī bhī jaatī rahī

    qatar jugnuon ki raushni luTati rahi

    main rang gundh ke titli ke par banati rahi

    rakha tha sui ki Tik-Tik pe ek dhaDakta dil

    yahi tamasha ghaDi hath ki dikhati rahi

    main chandni ki saheli wo chand bhai mera

    tamam din yahi aawaz kan khati rahi

    ghisa-piTa kahin kuchh intizar rota raha

    hawa ko dekho khaDi siTiyan bajati rahi

    wo thap Dhol ki kuchh aur tez hoti gai

    KHamoshi baiThi mere pas gungunati rahi

    wo ek laDka sa lipTa hua charagh ke sath

    diya-salai meri ungliyan jalati rahi

    falak ki khunTi se Tanga hua tha ek KHayal

    zamin pe baiThi teri baat muskuraati rahi

    main barf-bari mein nikli thi aag sulgane

    wo nannhi titli mere panw jab dabaati rahi

    qarib lane ki targhib dene wale dekh

    teri KHushi mein meri zindagi bhi jati rahi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now