Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

qatra hun main wusat de dariya kar de

Ramz Azimabadi

qatra hun main wusat de dariya kar de

Ramz Azimabadi

MORE BYRamz Azimabadi

    qatra huuñ maiñ vus.at de dariyā kar de

    chāhe to sāgar ko sahrā kar de

    talḳhī ehsās miTā de duniyā se

    yā-rab har peḌ phal mīThā kar de

    ye ḳhvāhish to sadiyoñ se hai nasloñ

    ḳhud zāhir ho mujh ko ifshā kar de

    zard chaTāneñ kaaT rahā huuñ sahrā meñ

    gard chādar phailā kar saaya kar de

    laaj bachā le merī kaj-dastārī

    baunoñ bastī meñ qad ūñchā kar de

    zanjīroñ par itnā bharosā mat karnā

    josh-e-junūñ meñ vahshī jaane kyā kar de

    insāñ ḳhud hai ḳhāliq apnī zarūrat

    chalte chalte pagDanDī paidā kar de

    abr bane to khārī paanī mīThā ho

    terī mashiyyat jab chāhe jaisā kar de

    merī mohabbat zāmin hai shādābī

    terī chāhat pattoñ ko piilā kar de

    rone vaalo ye bhī to ho saktā hai

    ḳhuun chhīñTā qātil ko rusvā kar de

    itnī duurī 'ramz' hai kyuuñ ghar vāloñ meñ

    nafrat dīvār girā rasta kar de

    qatra hun main wusat de dariya kar de

    tu chahe to sagar ko sahra kar de

    talKHi ka ehsas miTa de duniya se

    ya-rab tu har peD ka phal miTha kar de

    ye KHwahish to sadiyon se hai naslon ki

    KHud zahir ho ya mujh ko ifsha kar de

    zard chaTanen kaT raha hun sahra mein

    gard ki chadar phaila kar saya kar de

    laj bacha le meri kaj-dastari ki

    baunon ki basti mein qad uncha kar de

    zanjiron par itna bharosa mat karna

    josh-e-junun mein wahshi jaane kya kar de

    insan KHud hai KHaliq apni zarurat ka

    chalte chalte pagDanDi paida kar de

    abr bane to khaari pani miTha ho

    teri mashiyyat jab chahe jaisa kar de

    meri mohabbat zamin hai shadabi ki

    teri chahat patton ko pila kar de

    rone walo ye bhi to ho sakta hai

    KHun ka chhinTa qatil ko ruswa kar de

    itni duri 'ramz' hai kyun ghar walon mein

    nafrat ki diwar gira rasta kar de

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now