Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

qatra qatra miTata hun

Naresh Shandilya

qatra qatra miTata hun

Naresh Shandilya

MORE BYNaresh Shandilya

    qatra qatra miTātā huuñ

    tab ik qatra likhtā huuñ

    mujh jaisā kyoñ dekhūñ maiñ

    jab ḳhud jaisā dikhtā huuñ

    mīThe bol sunā le

    mol nahīñ maiñ biktā huuñ

    tan to merā bhī hai par

    maiñ is meñ kab tikTā huuñ

    maiñ fāqoñ ke chūlhe meñ

    ik roTī siktā huuñ

    qatra qatra miTata hun

    tab ek qatra likhta hun

    mujh jaisa kyon dekhun main

    jab KHud jaisa dikhta hun

    miThe bol suna le ja

    mol nahin main bikta hun

    tan to mera bhi hai par

    main is mein kab tikTa hun

    main faqon ke chulhe mein

    ek roTi sa sikta hun

    Source:

    Main Sadiyon Ki Pyas (Pg. 27)

    • Author: Naresh Shandilya
      • Publisher: Aadarsh Kitab Ghar, Delhi
      • Year of Publication: 2006
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now