qayamat hai sar-e-baalin wo zulfon ka bikhar jaana
qayāmat hai sar-e-bālīñ vo zulfoñ kā bikhar jaanā
mirī āshuftagī par un ke chehre kā utar jaanā
ḳhud apne saaye se vo har qadam par un kā Dar jaanā
aur is mā'sūmiyat par sādgī par merā mar jaanā
ba'īd-e-maslahat hai ġham meñ yuuñ ghul ghul ke mar jaanā
ki dekhā hai havādis meñ se kashtī kā guzar jaanā
paḌegī phir koī uftād phir aañsū ravāñ hoñge
na.e tūfān kī aamad hai dariyā kā utar jaanā
lab-e-sāhil ko bosa de ke yuuñ Duubī mirī kashtī
kisī kā jis tarah haañ kah ke phir jaanā mukar jaanā
nizām-e-zindagī kuchh aise ajzā se murattab hai
ki nā-mumkin sā hai shīrāza-e-ġham kā bikhar jaanā
lab-e-bām āftāb aaya to ġhaflat se naqāb uTThī
baḌī muddat meñ ham ne maqsad-e-nūr-e-sahar jaanā
nazar vaale haqīqat se kabhī munkir nahīñ hote
ham aisoñ ne hamesha zindagī ko dard-e-sar jaanā
javānī bad-gumāñ hotī hai lekin is qadar 'bismil'
ki ā.īne meñ apne rū-barū hote hī Dar jaanā
qayamat hai sar-e-baalin wo zulfon ka bikhar jaana
meri aashuftagi par un ke chehre ka utar jaana
KHud apne saye se wo har qadam par un ka Dar jaana
aur is ma'sumiyat par sadgi par mera mar jaana
ba'id-e-maslahat hai gham mein yun ghul ghul ke mar jaana
ki dekha hai hawadis mein se kashti ka guzar jaana
paDegi phir koi uftad phir aansu rawan honge
nae tufan ki aamad hai dariya ka utar jaana
lab-e-sahil ko bosa de ke yun Dubi meri kashti
kisi ka jis tarah han kah ke phir jaana mukar jaana
nizam-e-zindagi kuchh aise ajza se murattab hai
ki na-mumkin sa hai shiraaza-e-gham ka bikhar jaana
lab-e-baam aaftab aaya to ghaflat se naqab uTThi
baDi muddat mein hum ne maqsad-e-nur-e-sahar jaana
nazar wale haqiqat se kabhi munkir nahin hote
hum aison ne hamesha zindagi ko dard-e-sar jaana
jawani bad-guman hoti hai lekin is qadar 'bismil'
ki aaine mein apne ru-baru hote hi Dar jaana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.