Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

qismat se laDti hain nigahen

Siraj Lakhnavi

qismat se laDti hain nigahen

Siraj Lakhnavi

MORE BYSiraj Lakhnavi

    qismat se laḌtī haiñ nigāheñ

    tere hote kis ko chāheñ

    ulTī dekheñ ishq rāheñ

    hañsnā paḌe jab ronā chāheñ

    ishrat-e-māzī ko rotā huuñ

    ġham ke gale meñ Daal ke bāheñ

    nāzuk nāzuk jazbe dil ke

    halkī halkī ThanDī aaheñ

    shīsha-e-dil ke har TukḌe meñ

    ek ik sūrat kis ko chāheñ

    mere muqaddar ke sar-nāme

    jalte aañsū ThanDī aaheñ

    dukhte hue dil rag rag meñ

    tum chuTkī lo ham na karāheñ

    haa.e tire pāband-e-mohabbat

    qaidī aañsū mujrim aaheñ

    ek ik saañs javāb-talab hai

    kaise naale kaisī aaheñ

    kyā na guzartī hogī dil par

    ro na sakeñ jab ronā chāheñ

    surḳh āñkheñ haiñ bhare haiñ aañsū

    kis se 'sirāj' laḌī haiñ nigāheñ

    qismat se laDti hain nigahen

    tere hote kis ko chahen

    ulTi dekhen ishq ki rahen

    hansna paDe jab rona chahen

    ishrat-e-mazi ko rota hun

    gham ke gale mein Dal ke bahen

    nazuk nazuk jazbe dil ke

    halki halki ThanDi aahen

    shisha-e-dil ke har TukDe mein

    ek ek surat kis ko chahen

    mere muqaddar ke sar-name

    jalte aansu ThanDi aahen

    dukhte hue dil ki rag rag mein

    tum chuTki lo hum na karahen

    hae tere paband-e-mohabbat

    qaidi aansu mujrim aahen

    ek ek sans jawab-talab hai

    kaise nale kaisi aahen

    kya na guzarti hogi dil par

    ro na saken jab rona chahen

    surKH aankhen hain bhare hain aansu

    kis se 'siraj' laDi hain nigahen

    Source:

    Shola-e-Aawaz (Pg. e-106 p-105)

    • Author: Siraj Lakhnavi
      • Edition: 1920
      • Publisher: Nizami Press, Lucknow
      • Year of Publication: 1920
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now