Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

qissa to zulf-e-yar ka tul o tawil hai

Sher Mohammad Khan Iman

qissa to zulf-e-yar ka tul o tawil hai

Sher Mohammad Khan Iman

MORE BYSher Mohammad Khan Iman

    qissa to zulf-e-yār tuul o tavīl hai

    kyūñkar adā ho umr rishta qalīl hai

    gunjā.ish-e-do-shāh nahīñ ek mulk meñ

    vahdāniyat ke haq yahī bas dalīl hai

    mash.had pe dil ke dīda-e-giryāñ pukār de

    pyāsā na ba-nām-e-shahīdāñ sabīl hai

    nazreñ laḌāne meñ vo taġhāful hai ḳhush-numā

    jis tarah se patañgoñ ke panjoñ meñ Dhiil hai

    'īmān' kyā bayāñ karūñ us shahsavār

    hāzir jilau ke biich jahāñ jibra.īl hai

    qissa to zulf-e-yar ka tul o tawil hai

    kyunkar ada ho umr ka rishta qalil hai

    gunjaish-e-do-shah nahin ek mulk mein

    wahdaniyat ke haq ki yahi bas dalil hai

    mashhad pe dil ke dida-e-giryan pukar de

    pyasa na ja ba-nam-e-shahidan sabil hai

    nazren laDane mein wo taghaful hai KHush-numa

    jis tarah se patangon ke panjon mein Dhil hai

    'iman' kya bayan karun us shahsawar ka

    hazir jilau ke bich jahan jibrail hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now