Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

qubul kijiye inkar ka maqam nahin

Nasim Maysori

qubul kijiye inkar ka maqam nahin

Nasim Maysori

MORE BYNasim Maysori

    qubūl kījiye inkār maqām nahīñ

    ye jām-e-mai hai parī-vasl payām nahīñ

    ajiib hai ye sarāpā kamar naam nahīñ

    kuchh un be-dahnī meñ mujhe kalām nahīñ

    hai kaun shaiḳh-o-barahman jo dil se raam nahīñ

    tumhārā dair se kab tā-haram ḳhirām nahīñ

    liyā jo mol zuleḳhā ne māh-e-kan.āñ ko

    kahā jamāl ne sāhab huuñ maiñ ġhulām nahīñ

    bahak na jā.ūñ jo jā.ūñ bahr-e-mai saaqī

    savārī hech hai jab haath meñ lagām nahīñ

    uThā le haath jafā-o-sitam se ai zālim

    ḳhudā ke paas bhī is se baḌā salām nahīñ

    safeñ haiñ jaam mai-ḳhāna apnī masjid hai

    ba-juz sharāb botal ke yaañ imaam nahīñ

    jo ek bosa-e-lab luuñ hazār shukr karūñ

    tire raqīb maiñ bhī namak-harām nahīñ

    maiñ aap kartī huuñ ḳhidmat kahā zuleḳhā ne

    tirī ġhulāmī ke laa.eq koī ġhulām nahīñ

    vazīfa hai tire husn-o-adā-o-ġhamze

    kisī bashar zabāñ par kisī naam nahīñ

    mire gunāhoñ ko aur kis se baḳhshvā.ūñ maiñ

    shafī.a juz tire sayyad-e-anām nahīñ

    firāq meñ nahīñ piitā maiñ aab tak mai kyā

    ilāhī banda tirā shārib-e-mudām nahīñ

    chale na jaa.e vo ghar ko usī bahāne se

    sunā do mere janāze ko izn-e-ām nahīñ

    hujūm-o-yās-o-alam dil ko mere ghere haiñ

    ki muntazir hai jamā.at magar imaam nahīñ

    kab aane paatā hai rindoñ meñ naam zāhid

    hamārī bazm meñ bole kabāb-e-ḳhām nahīñ

    na phuul jaao 'nasīm' un ke phuul pheñke par

    guloñ mehr-o-mohabbat ko kuchh qayām nahīñ

    qubul kijiye inkar ka maqam nahin

    ye jam-e-mai hai pari-wasl ka payam nahin

    ajib hai ye sarapa kamar ka nam nahin

    kuchh un ki be-dahni mein mujhe kalam nahin

    hai kaun shaiKH-o-barahman jo dil se ram nahin

    tumhaara dair se kab ta-haram KHiram nahin

    liya jo mol zuleKHa ne mah-e-kanan ko

    kaha jamal ne sahab hun main ghulam nahin

    bahak na jaun jo pi jaun bahr-e-mai saqi

    sawari hech hai jab hath mein lagam nahin

    uTha le hath jafa-o-sitam se ai zalim

    KHuda ke pas bhi is se baDa salam nahin

    safen hain jam ki mai-KHana apni masjid hai

    ba-juz sharab ki botal ke yan imam nahin

    jo ek bosa-e-lab lun hazar shukr karun

    tere raqib sa main bhi namak-haram nahin

    main aap karti hun KHidmat kaha zuleKHa ne

    teri ghulami ke laeq koi ghulam nahin

    wazifa hai tere husn-o-ada-o-ghamze ka

    kisi bashar ki zaban par kisi ka nam nahin

    mere gunahon ko aur kis se baKHshwaun main

    shafia juz tere ya sayyad-e-anam nahin

    firaq mein nahin pita main aab tak mai kya

    ilahi banda tera shaarib-e-mudam nahin

    chale na jae wo ghar ko usi bahane se

    suna do mere janaze ko izn-e-am nahin

    hujum-o-yas-o-alam dil ko mere ghere hain

    ki muntazir hai jamaat magar imam nahin

    kab aane pata hai rindon mein nam zahid ka

    hamari bazm mein bole kabab-e-KHam nahin

    na phul jao 'nasim' un ke phul phenke par

    gulon ki mehr-o-mohabbat ko kuchh qayam nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now