qufl-e-zindan aaj khola jaega
qufl-e-zindāñ aaj kholā jā.egā
laash qaidī kī nikālī jā.egī
aa rahā hai un kā ab 'ahd-e-shabāb
zulm kī buniyād Daalī jā.egī
zindagī bhar ham rahe mahrūm-e-dīd
saath tasvīr-e-ḳhayālī jā.egī
aa rahī hai zulf un kī tā-qadam
kis kamar se ye sañbhālī jā.egī
sajda-gāh-e-'ām hogā un kā dar
qaid masjid kī uThā lī jā.egī
zulm Dhāne vaale ye bhī jaan leñ
āh-e-mazlūmāñ na ḳhālī jā.egī
sajda-e-but se agar rokā gayā
ik na.ī masjid banā lī jā.egī
fasl-e-gul meñ dā'vat-e-pīr-e-muġhāñ
shaiḳh sāhab se na Taalī jā.egī
qufl-e-zindan aaj khola jaega
lash qaidi ki nikali jaegi
aa raha hai un ka ab 'ahd-e-shabab
zulm ki buniyaad Dali jaegi
zindagi bhar hum rahe mahrum-e-did
sath taswir-e-KHayali jaegi
aa rahi hai zulf un ki ta-qadam
kis kamar se ye sanbhaali jaegi
sajda-gah-e-'am hoga un ka dar
qaid masjid ki uTha li jaegi
zulm Dhane wale ye bhi jaan len
aah-e-mazluman na KHali jaegi
sajda-e-but se agar roka gaya
ek nai masjid bana li jaegi
fasl-e-gul mein da'wat-e-pir-e-mughan
shaiKH sahab se na Tali jaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.