Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

qurb us ka dil-e-zar ko taDpae hai kuchh aur

Vali-ul-Haq Ansari

qurb us ka dil-e-zar ko taDpae hai kuchh aur

Vali-ul-Haq Ansari

MORE BYVali-ul-Haq Ansari

    qurb us dil-e-zār ko taḌpā.e hai kuchh aur

    hai dard vo darmāñ se jo baḌh jaa.e hai kuchh aur

    kyā hai ye tilismāt jahāñ aql hai sardār

    hai asl meñ kuchh aur nazar aa.e hai kuchh aur

    sard aahoñ se mazlūmoñ taḌpe hai dil-e-zār

    chalne se huā ġhuncha ye murjhā.e hai kuchh aur

    lazzat tirī shīrīñ-suḳhanī meñ bhī hai lekin

    dil talḳhī-e-daurāñ meñ mazā paa.e hai kuchh aur

    bas kar nigah-e-nāz tirī taab nahīñ ab

    ye lutf dil-e-zār ko taḌpā.e hai kuchh aur

    shorīdgī-e-dil hai aalam nirālā

    rang ab bahārāñ meñ junūñ laa.e hai kuchh aur

    baḌhtā hai junūñ vādī-e-ulfat meñ ziyāda

    is dasht meñ talvā mirā khujlā.e hai kuchh aur

    is par bhī kabhī hogī nigāh-e-karam-e-yār

    dil us ke tasavvur se itrā.e hai kuchh aur

    aksar nigah-e-qahr ke sadme sahe lekin

    terī nigah-e-lutf sitam Dhaa.e hai kuchh aur

    uqda na haqīqat khule dast-e-ḳhirad se

    suljhāne se gutthī ye ulajh jaa.e hai kuchh aur

    jitnī use bahlāne karte haiñ sa.ī log

    dil apnā 'valī' utnā ghabrā.e hai kuchh aur

    qurb us ka dil-e-zar ko taDpae hai kuchh aur

    hai dard wo darman se jo baDh jae hai kuchh aur

    kya hai ye tilismat jahan aql hai sardar

    hai asl mein kuchh aur nazar aae hai kuchh aur

    sard aahon se mazlumon ki taDpe hai dil-e-zar

    chalne se hua ghuncha ye murjhae hai kuchh aur

    lazzat teri shirin-suKHani mein bhi hai lekin

    dil talKHi-e-dauran mein maza pae hai kuchh aur

    bas kar nigah-e-naz teri tab nahin ab

    ye lutf dil-e-zar ko taDpae hai kuchh aur

    shoridgi-e-dil ka hai aalam hi nirala

    rang ab ki bahaaran mein junun lae hai kuchh aur

    baDhta hai junun wadi-e-ulfat mein ziyaada

    is dasht mein talwa mera khujlae hai kuchh aur

    is par bhi kabhi hogi nigah-e-karam-e-yar

    dil us ke tasawwur se hi itrae hai kuchh aur

    aksar nigah-e-qahr ke sadme sahe lekin

    teri nigah-e-lutf sitam Dhae hai kuchh aur

    uqda na haqiqat ka khule dast-e-KHirad se

    suljhane se gutthi ye ulajh jae hai kuchh aur

    jitni use bahlane ki karte hain sai log

    dil apna 'wali' utna hi ghabrae hai kuchh aur

    Source:

    Nuqoosh-e-Zeba (Pg. 40)

    • Author: Waliul Haq
      • Publisher: Waliul Haq
      • Year of Publication: 1994
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now