aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

raegan auqat kho kar haif khana hai abas

Waliullah Muhib

raegan auqat kho kar haif khana hai abas

Waliullah Muhib

MORE BYWaliullah Muhib

    rā.egāñ auqāt kho kar haif khānā hai abas

    ḳhūb-rūyoñ se jahāñ ke dil lagānā hai abas

    kārgar hogā tirā afsūñ ye bāvar hai tujhe

    us parī par ai dil-e-vahshī divānā hai abas

    jiite phir aane pahle rakh tavaqqo dil se duur

    varna kūche meñ sitam-gāroñ ke jaanā hai abas

    ḳhaak ho kar ek sūrat hai gadā-o-shāh

    gar muāfiq tujh se ai mun.im zamānā hai abas

    yaad kis ko rahm meñ kab dimāġh-o-dil kahāñ

    yaañ na aane mire sāhab bahānā hai abas

    dil-shikan hai sub.h-dam terā gulchīñ baaġh meñ

    āshiyāñ ai andalīb us banānā hai abas

    ai gul-e-ḳhandāñ sabāt-e-umr hai shabnam se kam

    yaañ bahār-e-rañg par hañsnā hañsānā hai abas

    vaañ phire haiñ tarkash-e-mizhgāñ talāsh-e-said par

    yaañ tirā dil tīr-e-hasrat nishānā hai abas

    aabrū kahte haiñ jis ko hai 'muhib' ik qatra aab

    jab Dhalak jaave to phir us uThānā hai abas

    raegan auqat kho kar haif khana hai abas

    KHub-ruyon se jahan ke dil lagana hai abas

    kargar hoga tera afsun ye bawar hai tujhe

    us pari par ai dil-e-wahshi diwana hai abas

    jite phir aane ki pahle rakh tawaqqo dil se dur

    warna kuche mein sitam-garon ke jaana hai abas

    KHak ho kar ek surat hai gada-o-shah ki

    gar muafiq tujh se ai munim zamana hai abas

    yaad kis ko rahm ji mein kab dimagh-o-dil kahan

    yan na aane ka mere sahab bahana hai abas

    dil-shikan hai subh-dam tera hi gulchin bagh mein

    aashiyan ai andalib us ja banana hai abas

    ai gul-e-KHandan sabaat-e-umr hai shabnam se kam

    yan bahaar-e-rang par hansna hansana hai abas

    wan phire hain tarkash-e-mizhgan talash-e-said par

    yan tera dil tir-e-hasrat ka nishana hai abas

    aabru kahte hain jis ko hai 'muhib' ek qatra aab

    jab Dhalak jawe to phir us ka uThana hai abas

    Source:

    Deewan-e-Waleeullah Muhib (Pg. e-140 p-139)

    • Author: Waliullah Muhib
      • Edition: 1999
      • Publisher: Sangat Publishers, Lahore
      • Year of Publication: 1999
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now