Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

raegan bughz-o-hasad mein zindagani mat karo

Arshad Sad Rudaulvi

raegan bughz-o-hasad mein zindagani mat karo

Arshad Sad Rudaulvi

MORE BYArshad Sad Rudaulvi

    rā.egāñ buġhz-o-hasad meñ zindagānī mat karo

    qadr rishtoñ karo yuuñ ḳhuun paanī mat karo

    ek duuje se chaman ke phuul bhī hoñ bad-gumāñ

    yuuñ ta.assub-rez hargiz bāġhbānī mat karo

    umr Dhal jā.egā sūraj to phir pachhtāoge

    qīmtī barbād apnī ye javānī mat karo

    tum yahāñ insāniyat ke ik alam-bardār ho

    yuuñ abas kirdār apnā be-ma.ānī mat karo

    pahle to sūraj ko kar rakh diyā sar par mire

    ab dikhāve ke liye ye sā.ebānī mat karo

    ai mire ashko mirī āñkhoñ ke andar raho

    tum mire jazbāt yuuñ tarjumānī mat karo

    kaan bhar dene se yuuñ aire-ġhaire shaḳhs ke

    paidā apne dil meñ hargiz bad-gumānī mat karo

    ahl-e-masnad tum se merā bas yahī hai iltimās

    muflisoñ ḳhuun kar hukmrānī mat karo

    is tarah qadmoñ meñ rakh kar bātiloñ ke 'sād' tum

    apnī ye dastār mailī ḳhāndānī mat karo

    raegan bughz-o-hasad mein zindagani mat karo

    qadr rishton ki karo yun KHun pani mat karo

    ek duje se chaman ke phul bhi hon bad-guman

    yun tassub-rez hargiz baghbani mat karo

    umr ka Dhal jaega suraj to phir pachhtaoge

    qimti barbaad apni ye jawani mat karo

    tum yahan insaniyat ke ek alam-bardar ho

    yun abas kirdar apna be-maani mat karo

    pahle to suraj ko la kar rakh diya sar par mere

    ab dikhawe ke liye ye saebani mat karo

    ai mere ashko meri aankhon ke andar hi raho

    tum mere jazbaat ki yun tarjumani mat karo

    kan bhar dene se yun hi aire-ghaire shaKHs ke

    paida apne dil mein hargiz bad-gumani mat karo

    ahl-e-masnad tum se mera bas yahi hai iltimas

    muflison ka KHun pi kar hukmrani mat karo

    is tarah qadmon mein rakh kar baatilon ke 'sad' tum

    apni ye dastar maili KHandani mat karo

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now