rah-e-junun-e-shauq mein hum umr-bhar chale

rah-e-junun-e-shauq mein hum umr-bhar chale
Munawwar Tabish Sambhali
MORE BYMunawwar Tabish Sambhali
rāh-e-junūn-e-shauq meñ ham 'umr-bhar chale
lekin ḳhabar nahīñ hai kidhar the kidhar chale
phir aap hoñge apnī jafāoñ ke zimma-dār
bardāsht kī hadoñ se bhī bāhar agar chale
kyā ye ḳhatā hai log tumheñ dekhne lage
baiThe biThā.e bazm se uTh kar kidhar chale
raste meñ āsmāñ se utar aa.e kahkashāñ
tum sā jo mere saath koī lamha-bhar chale
ahl-e-adab ThiThak ke jahāñ the vahīñ ruke
ahl-e-hunar ke aage jo kuchh be-hunar chale
thiiñ mushkileñ hazār mohabbat kī raah meñ
jab tere jāñ-nisār chale be-ḳhatar chale
mushkil hai kārvāñ ko mile manzil-e-talab
raste pe rāhzan ke agar rāhbar chale
'tābish' jigar tak aa.egā un kī nazar kā tiir
yā tiir kī taraf hī hamārā jigar chale
rah-e-junun-e-shauq mein hum 'umr-bhar chale
lekin KHabar nahin hai kidhar the kidhar chale
phir aap honge apni jafaon ke zimma-dar
bardasht ki hadon se bhi bahar agar chale
kya ye KHata hai log tumhein dekhne lage
baiThe biThae bazm se uTh kar kidhar chale
raste mein aasman se utar aae kahkashan
tum sa jo mere sath koi lamha-bhar chale
ahl-e-adab ThiThak ke jahan the wahin ruke
ahl-e-hunar ke aage jo kuchh be-hunar chale
thin mushkilen hazar mohabbat ki rah mein
jab tere jaan-nisar chale be-KHatar chale
mushkil hai karwan ko mile manzil-e-talab
raste pe rahzan ke agar rahbar chale
'tabish' jigar tak aaega un ki nazar ka tir
ya tir ki taraf hi hamara jigar chale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.