Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rah-e-safar mein chiz koi kya thi mere pas

Javed Shaheen

rah-e-safar mein chiz koi kya thi mere pas

Javed Shaheen

MORE BYJaved Shaheen

    rāh-e-safar meñ chiiz koī kyā thī mere paas

    bas maiñ thā aur vus.at-e-sahrā thī mere paas

    thā mere paas ghaTtī huī zindagī rañj

    aur ek lambī ḳhvāhish-e-duniyā thī mere paas

    apnā har ik nazāra dikhānā paḌā use

    kartā vo kyā ki chashm-e-tamāshā thī mere paas

    tapte hue dinoñ meñ kahīñ thī ḳhunuk havā

    aur sardiyoñ meñ aag barpā thī mere paas

    kyā chiiz thī jo ghultī rahī bahte vaqt meñ

    pal pal badaltī rañgat-e-dariyā thī mere paas

    kaise bigaḌ ga.ī use kis ne badal diyā

    'shāhīñ' jo ek sūrat-e-fardā thī mere paas

    rah-e-safar mein chiz koi kya thi mere pas

    bas main tha aur wusat-e-sahra thi mere pas

    tha mere pas ghaTti hui zindagi ka ranj

    aur ek lambi KHwahish-e-duniya thi mere pas

    apna har ek nazara dikhana paDa use

    karta wo kya ki chashm-e-tamasha thi mere pas

    tapte hue dinon mein kahin thi KHunuk hawa

    aur sardiyon mein aag si barpa thi mere pas

    kya chiz thi jo ghulti rahi bahte waqt mein

    pal pal badalti rangat-e-dariya thi mere pas

    kaise bigaD gai use kis ne badal diya

    'shahin' jo ek surat-e-farda thi mere pas

    Source:

    Ishq e Tamam (Pg. 577)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now