Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rah-e-talab mein ahl-e-dil jab had-e-am se baDhe

Ejaz Warsi

rah-e-talab mein ahl-e-dil jab had-e-am se baDhe

Ejaz Warsi

MORE BYEjaz Warsi

    rāh-e-talab meñ ahl-e-dil jab had-e-ām se baḌhe

    kashmakash-e-hayāt ke aur bhī hausle baḌhe

    kis se ye pūchhiye bhalā tishna-laboñ ko kyā milā

    kahne ko yuuñ to roz saikḌoñ mai-kade baḌhe

    koshish-e-paiham āfrīñ manzil ab aa ga.ī qarīb

    muzhda ho ārzū-e-dil paañv ke aable baḌhe

    aate us ne bazm meñ ruḳh pe naqāb Daal

    haa.e vo manzar-e-hasīñ jaise diye jale baḌhe

    vaqt āzmā.isheñ laatī haiñ ziist par nikhār

    phūloñ ko dekh lījiye kāñToñ meñ jo pale-baḌhe

    tābish-e-husn-e-yār ne chhīn tāb-e-arz-e-shauq

    jitne qarīb aa.e vo utne fāsle baḌhe

    rāhoñ ke ruḳh badal ga.e manzileñ duur ho ga.iiñ

    ḳhizr ke e.atibār par jab kabhī qāfile baḌhe

    rah-e-talab mein ahl-e-dil jab had-e-am se baDhe

    kashmakash-e-hayat ke aur bhi hausle baDhe

    kis se ye puchhiye bhala tishna-labon ko kya mila

    kahne ko yun to roz hi saikDon mai-kade baDhe

    koshish-e-paiham aafrin manzil ab aa gai qarib

    muzhda ho aarzu-e-dil panw ke aable baDhe

    aate hi us ne bazm mein ruKH pe naqab Dal li

    hae wo manzar-e-hasin jaise diye jale baDhe

    waqt ki aazmaishen lati hain zist par nikhaar

    phulon ko dekh lijiye kanTon mein jo pale-baDhe

    tabish-e-husn-e-yar ne chhin li tab-e-arz-e-shauq

    jitne qarib aae wo utne hi fasle baDhe

    rahon ke ruKH badal gae manzilen dur ho gain

    KHizr ke eatibar par jab kabhi qafile baDhe

    Source:

    Haft Rang(Bijnor Ke Muqami Shora ka Intikhab-e-kalam) (Pg. 42)

      • Edition: 1969
      • Publisher: Bazm-e-Adab, Rajasthan
      • Year of Publication: 1981
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now