rah-e-ulfat se pareshan kidhar jata hai
rāh-e-ulfat se pareshān kidhar jaatā hai
apnī manzil se bhī anjān kidhar jaatā hai
jhuuT se haar ke nādān kidhar jaatā hai
maar ke apnā tū īmān kidhar jaatā hai
bik rahā huuñ sar-e-bāzār tirī shartoñ par
de ke mujh ko tū ye nuqsān kidhar jaatā hai
terī yādoñ kā uThā thā jo mire siine se
dekhnā hai ki vo tūfān kidhar jaatā hai
maiñ isī soch meñ uljhī huuñ baḌī muddat se
baa'd marne ke ye insān kidhar jaatā hai
mai-kada bhī hai terā ghar bhī sanam-ḳhāne bhī
āzmānā hai ki ab dhyān kidhar jaatā hai
nekiyāñ chhoḌ ke jis ne jo kamāyā 'mīnā'
dekhiye le ke vo sāmān kidhar jaatā hai
rah-e-ulfat se pareshan kidhar jata hai
apni manzil se bhi anjaan kidhar jata hai
jhuT se haar ke nadan kidhar jata hai
mar ke apna tu iman kidhar jata hai
bik raha hun sar-e-bazar teri sharton par
de ke mujh ko tu ye nuqsan kidhar jata hai
teri yaadon ka uTha tha jo mere sine se
dekhna hai ki wo tufan kidhar jata hai
main isi soch mein uljhi hun baDi muddat se
ba'd marne ke ye insan kidhar jata hai
mai-kada bhi hai tera ghar bhi sanam-KHane bhi
aazmana hai ki ab dhyan kidhar jata hai
nekiyan chhoD ke jis ne jo kamaya 'mina'
dekhiye le ke wo saman kidhar jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.