Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rah mein ek sitara hi bahut hota hai

Nisar Rahi

rah mein ek sitara hi bahut hota hai

Nisar Rahi

MORE BYNisar Rahi

    raah meñ ek sitārā bahut hotā hai

    yaad us sahārā bahut hotā hai

    rū-ba-rū milne us se kabhī himmat na huī

    ḳhvāb meñ us nazāra bahut hotā hai

    dil gahrā.ī nigāhoñ se ziyāda hai magar

    Dūbnā ho to kinārā bahut hotā hai

    be-ḳhabar itne bhī mausam se parinde kyoñ the

    jab havāoñ ishāra bahut hotā hai

    ho gayā ishq se sone meñ suhāgā varna

    sirf taqdīr maarā bahut hotā hai

    e'timād us ne kahāñ mujh pe kiyā hai varna

    ek tinke sahārā bahut hotā hai

    intizār aaj bhī kyoñ chāñd karte ho 'nisār'

    jab añdhere meñ sitārā bahut hotā hai

    rah mein ek sitara hi bahut hota hai

    yaad ka us ki sahaara hi bahut hota hai

    ru-ba-ru milne ki us se kabhi himmat na hui

    KHwab mein us ka nazara hi bahut hota hai

    dil ki gahrai nigahon se ziyaada hai magar

    Dubna ho to kinara hi bahut hota hai

    be-KHabar itne bhi mausam se parinde kyon the

    jab hawaon ka ishaara hi bahut hota hai

    ho gaya ishq se sone mein suhaga warna

    sirf taqdir ka mara hi bahut hota hai

    e'timad us ne kahan mujh pe kiya hai warna

    ek tinke ka sahaara hi bahut hota hai

    intizar aaj bhi kyon chand ka karte ho 'nisar'

    jab andhere mein sitara hi bahut hota hai

    Source:

    Raushni Ke Darwaze (Pg. 62)

    • Author: Nisar Rahi
      • Publisher: Nisar Rahi
      • Year of Publication: 2007
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now