Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rah mein hail na ho jate agar dair-o-haram

Shadan Indauri

rah mein hail na ho jate agar dair-o-haram

Shadan Indauri

MORE BYShadan Indauri

    raah meñ haa.il na ho jaate agar dair-o-haram

    aur shāyad duur tak milte tire naqsh-e-qadam

    ishq meñ farq-e-marātib ko kabhī bhūle na ham

    apnī ḳhātir āh-o-zārī un ḳhātir zabt-e-ġham

    jab bhī haath aa.ī ba-qadr-e-zarf sābit huī

    ke dekhī hai ziyāda se ziyāda kam se kam

    kar liyā hai maiñ ne har ik hādse tajziya

    muskurāne se masarrat ban gayā rone se ġham

    āzmā.ish par utar aayā hai daur-e-inqilāb

    dhuup ban kar rah gayā hai sāya-e-dair-o-haram

    muddatoñ parvāne mānind jal chukne ke ba.ad

    sham.a ban kar jal rahe haiñ ab tirī mahfil meñ ham

    rah mein hail na ho jate agar dair-o-haram

    aur shayad dur tak milte tere naqsh-e-qadam

    ishq mein farq-e-maraatib ko kabhi bhule na hum

    apni KHatir aah-o-zari un ki KHatir zabt-e-gham

    jab bhi hath aai ba-qadr-e-zarf hi sabit hui

    pi ke dekhi hai ziyaada se ziyaada kam se kam

    kar liya hai main ne har ek hadse ka tajziya

    muskurane se masarrat ban gaya rone se gham

    aazmaish par utar aaya hai daur-e-inqilab

    dhup ban kar rah gaya hai saya-e-dair-o-haram

    muddaton parwane ki manind jal chukne ke baad

    shama ban kar jal rahe hain ab teri mahfil mein hum

    Source:

    Kulliyat-e-Shadan Indori (Pg. 151)

      • Publisher: Farzandan-e-Shadan Indori
      • Year of Publication: 2015
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now