rah se na-ashna bhi rahbar hone lage
raah se nā-āshnā bhī rāhbar hone lage
rāstoñ ke sang bhī ab ham-safar hone lage
kis qadar gambhīr hai tārīkiyoñ kā silsila
chāñdnī ke dā.ere bhī muḳhtasar hone lage
ghar ke bāhar shahr kī jaltī huī saḌkoñ pe aa
ham pe jo biite hai tujh ko bhī ḳhabar hone lage
vaqt kī zanjīr meñ jakḌe hue haiñ zehn-o-dil
haañ magar aisā na ho yūñhī basar hone lage
naam kī taḳhtī hamārī aur ghar hai ġhair kā
dosto sunte ho ab aise bhī ghar hone lage
rah se na-ashna bhi rahbar hone lage
raston ke sang bhi ab ham-safar hone lage
kis qadar gambhir hai tarikiyon ka silsila
chandni ke daere bhi muKHtasar hone lage
ghar ke bahar shahr ki jalti hui saDkon pe aa
hum pe jo bite hai tujh ko bhi KHabar hone lage
waqt ki zanjir mein jakDe hue hain zehn-o-dil
han magar aisa na ho yunhi basar hone lage
nam ki taKHti hamari aur ghar hai ghair ka
dosto sunte ho ab aise bhi ghar hone lage
- Book : Mitti Ki Sundarta Dekho (Pg. 79)
- Author : Sarvat Husain
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.