rah viran wadiyan tanha
raah vīrān vādiyāñ tanhā
dil ye bhaTkā yahāñ vahāñ tanhā
chhoḌne vaale chhoḌ jā.eñge
laakh rokegā āshiyāñ tanhā
aap gar duur ham se jā.eñge
jī na pā.eñge ham yahāñ tanhā
apne nazdīk sab akele haiñ
sab kā apnā hai ik jahāñ tanhā
gum-shuda rāheñ lāpata manzil
ruktā chaltā hai kārvāñ tanhā
zindagī kis tarah guzāreñge
ḳhushiyāñ tanhā udāsiyāñ tanhā
rah viran wadiyan tanha
dil ye bhaTka yahan wahan tanha
chhoDne wale chhoD jaenge
lakh rokega aashiyan tanha
aap gar dur hum se jaenge
ji na paenge hum yahan tanha
apne nazdik sab akele hain
sab ka apna hai ek jahan tanha
gum-shuda rahen lapata manzil
rukta chalta hai karwan tanha
zindagi kis tarah guzarenge
KHushiyan tanha udasiyan tanha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.