Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rahat kahan nasib thi jo ab kahin nahin

Dattatriya Kaifi

rahat kahan nasib thi jo ab kahin nahin

Dattatriya Kaifi

MORE BYDattatriya Kaifi

    rāhat kahāñ nasīb thī jo ab kahīñ nahīñ

    vo āsmāñ nahīñ hai ki ab vo zamīñ nahīñ

    ho josh sidq-e-dil meñ to rāhat baġhal meñ ho

    qaa.em ye āsmān rahe zamīñ nahīñ

    hubb-e-vatan ko himmat-e-mardāna chāhiye

    darkār aah sīna-e-andoh-gīñ nahīñ

    ḳhūn-e-dil-o-jigar se ise sīñch ai aziiz

    kisht-e-vatan hai ye koī kisht-e-javīñ nahīñ

    haq-goī sadā thī na ruknī na ruk sakī

    kab vaar sināneñ galoñ meñ chubhīñ nahīñ

    dāġh-e-ġham-e-vatan hai nishān-e-azīz-e-ḳhalq

    dil par na jis naqsh ho ye vo nagīñ nahīñ

    jañg-e-vatan meñ sidq ke hathiyār hai kaam

    darkār is meñ aslaha-e-āhīñ nahīñ

    ghar-bār terā par kisī chiiz ko na chheḌ

    ye baat to harīfoñ kuchh dil-nashīñ nahīñ

    jis baat par aziiz aḌe haiñ aḌe raheñ

    kahne deñ un ko ūñche gale se nahīñ nahīñ

    kyā jaane dil jigar ko mire jo ye kah gayā

    dāman bhī taar taar nahīñ āstīñ nahīñ

    mābūd hai vatan huuñ parastār usī maiñ

    dair o haram meñ jo jhuke ye vo jabīñ nahīñ

    'kaifī' isī se ḳhairiyat-e-hind meñ hai der

    hubb-e-vatan josh kahīñ hai kahīñ nahīñ

    rahat kahan nasib thi jo ab kahin nahin

    wo aasman nahin hai ki ab wo zamin nahin

    ho josh sidq-e-dil mein to rahat baghal mein ho

    qaem ye aasman rahe ya zamin nahin

    hubb-e-watan ko himmat-e-mardana chahiye

    darkar aah sina-e-andoh-gin nahin

    KHun-e-dil-o-jigar se ise sinch ai aziz

    kisht-e-watan hai ye koi kisht-e-jawin nahin

    haq-goi ki sada thi na rukni na ruk saki

    kab war ki sinanen galon mein chubhin nahin

    dagh-e-gham-e-watan hai nishan-e-aziz-e-KHalq

    dil par na jis ka naqsh ho ye wo nagin nahin

    jang-e-watan mein sidq ke hathiyar ka hai kaam

    darkar is mein aslaha-e-ahin nahin

    ghar-bar tera par tu kisi chiz ko na chheD

    ye baat to harifon ki kuchh dil-nashin nahin

    jis baat par aziz aDe hain aDe rahen

    kahne den un ko unche gale se nahin nahin

    kya jaane dil jigar ko mere jo ye kah gaya

    daman bhi tar tar nahin aastin nahin

    mabud hai watan hun parastar usi ka main

    dair o haram mein jo jhuke ye wo jabin nahin

    'kaifi' isi se KHairiyat-e-hind mein hai der

    hubb-e-watan ka josh kahin hai kahin nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now