Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rahat mili sukun mila aagahi mili

Prem Narayan Saxena Raz

rahat mili sukun mila aagahi mili

Prem Narayan Saxena Raz

MORE BYPrem Narayan Saxena Raz

    rāhat milī sukūn milā āgahī milī

    vo kyā mile ki ham ko na.ī zindagī milī

    dil bujhā charāġh achānak bhaḌak uThā

    ik chashm-e-pur-ḳhulūs meñ vo sho.alagī milī

    saath un ke zindagī safar is tarah kaTā

    rāhoñ meñ har qadam pe ḳhushī nāchtī milī

    jis meñ rachā huā thā mirā rang-e-ārzū

    un ke laboñ pe giit vo pankhuḌī milī

    shāyad mirī nigāh-e-parastish sehr thā

    mūrat vo marmarīñ mujhe boltī milī

    ik māh-vash nuur rahā ruuh par muhīt

    har raat zindagī mujhe chāñdnī milī

    badnām ishq meñ na hue ġhair tarah

    izzat-fazā hayāt hameñ ishq milī

    dil-bastagī-e-bazm meñ talve jhulas ga.e

    sho.aloñ pe raqs kartī hameñ zindagī milī

    ik mehrbāñ nazar adā-e-latīf se

    āvārgī-e-‘rāz’ ko shā.istagī milī

    rahat mili sukun mila aagahi mili

    wo kya mile ki hum ko nai zindagi mili

    dil ka bujha charagh achanak bhaDak uTha

    ek chashm-e-pur-KHulus mein wo shoalagi mili

    sath un ke zindagi ka safar is tarah kaTa

    rahon mein har qadam pe KHushi nachti mili

    jis mein racha hua tha mera rang-e-arzu

    un ke labon pe git ki wo pankhuDi mili

    shayad meri nigah-e-parastish ka sehr tha

    murat wo marmarin si mujhe bolti mili

    ek mah-wash ka nur raha ruh par muhit

    har raat zindagi ki mujhe chandni mili

    badnam ishq mein na hue ghair ki tarah

    izzat-faza hayat hamein ishq ki mili

    dil-bastagi-e-bazm mein talwe jhulas gae

    shoalon pe raqs karti hamein zindagi mili

    ek mehrban nazar ki ada-e-latif se

    aawargi-e-‘raaz’ ko shaistagi mili

    Source:

    Aabshar-e-Naghma (Pg. 54)

    • Author: Prem Narayan Saxena Raz
      • Publisher: Shrimati Asha Saxena
      • Year of Publication: 1987
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now