Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rahbar tera sitara na rahe

Navin Joshi

rahbar tera sitara na rahe

Navin Joshi

MORE BYNavin Joshi

    rāhbar terā sitāra na rahe

    justujū aisī ḳhudārā na rahe

    jo na ik duuje ho ham meñ gumāñ

    ham meñ phir kuchh bhī hamārā na rahe

    jism jism ho aur ruuh na ho

    vasl vo mujh ko gavārā na rahe

    muntazir ho na terī āñkheñ to

    merī kashtī kināra na rahe

    pyaar āñkhoñ se chhalaktā hai

    dil ke paimāne meñ saarā na rahe

    aur kuchh kam ho to phir kyā kam hai

    pyaar kam ho to guzārā na rahe

    phūñk maaro ye ubhar aa.egā

    raakh meñ dab ke sharāra na rahe

    kyā sambhalne maza aa.e jo

    terī bāhoñ sahārā na rahe

    rah chukā paas tire jo ab to

    dil mire paas dobāra na rahe

    rahbar tera sitara na rahe

    justuju aisi KHudara na rahe

    jo na ek duje ka ho hum mein guman

    hum mein phir kuchh bhi hamara na rahe

    jism hi jism ho aur ruh na ho

    wasl wo mujh ko gawara na rahe

    muntazir ho na teri aankhen to

    meri kashti ka kinara na rahe

    pyar aankhon se chhalakta hi hai

    dil ke paimane mein sara na rahe

    aur kuchh kam ho to phir kya kam hai

    pyar kam ho to guzara na rahe

    phunk maro ye ubhar aaega

    rakh mein dab ke sharara na rahe

    kya sambhalne ka maza aae jo

    teri bahon ka sahaara na rahe

    rah chuka pas tere jo ab to

    dil mere pas dobara na rahe

    Source:

    Word File Mail By Salim Saleem

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now